---
Chapter 8: Lafzon Ke Peeche Jo Chhupa Tha
Zoya us raat ghar laut aayi, lekin Anas Siddique ke lafz uske dimaag mein ghoomte rahe.
“Aap woh ladki hain jo dikhne se zyada sochne mein strong hai.”
Kayi log uski tareef kar chuke the, lekin is baar tareef mein koi matlab chhupa tha – jaise kisi ne uski rooh ko padne ki koshish ki ho.
Agle kuch dino mein Anas aur Zoya ki beech 2–3 baar mulaqat ho gayi – ek university event, ek community fundraiser, aur ek panel discussion mein. Har baar Anas Zoya ko observe karta, lekin kabhi us par personal comment nahi karta. Uska attitude respectful tha, lekin keen bhi.
Ek din Zoya ko ek email aayi –
"Ms. Zoya, hum aapko youth upliftment program mein guest speaker banane ke liye invite karte hain – under the mentorship of Mr. Anas Siddique."
Zoya pehle hesitant thi. Usne socha,
"Main sirf ek student hoon. In logon ke level ka nahi hoon."
Lekin phir uske andar ki awaaz boli:
"Agar duniya tumhe sirf silent spectator banana chahti hai, toh kabhi kabhi jawab mein khamoshi nahi, himmat deni padti hai."
---
Program Day:
Stage par Zoya ne apni journey batayi – ek simple, namazi ladki ka struggle jise duniya ki doglapan ne torhne ki koshish ki, lekin usne apne imaan se sab kuch jhela. Hall mein silence tha… aur Anas ki aankhon mein izzat.
Event ke baad, Anas ne sirf itna kaha:
"Zoya, tum kisi campaign ka hissa bano ya na bano, lekin tumhari awaaz logon ke dil tak ja rahi hai. Agar kabhi support chahiye – bina kisi agenda ke – toh main yahan hoon."
Zoya ne pehli baar dil se dekha – Anas sirf ek politician nahi lag raha tha, balki ek insaan bhi tha. Lekin uska dil ab bhi guarded tha.
---
Zoya (apne aap se):
"Kya koi sach mein bina fayda soche achha ho sakta hai? Ya yeh bhi ek naye deception ka part hai
---
Chapter 9: Bharosa — Imtihaan Ya Galti?
Do hafte ho gaye the youth event ko. Zoya apne kaam mein busy thi. Usne Anas ke baare mein sochna kam kar diya tha, lekin dil ke kone mein uska asar baaki tha — ek ajeeb si curiosity, ek strange silence ke saath.
Ek shaam Zoya apne hostel ke library section mein thi, jab uska phone ring hua. Unknown number.
"Zoya, main Anas bol raha hoon… I know it's sudden, lekin mujhe tumhari ek zaroori madad chahiye."
Zoya chok gayi.
"Madad? Main?"
"Haan. Ek rural education conference mein mujhe ek panel chahiye tha jahan ground-level logon ki asli awaaz ho. Tum jaisi ladki ki soch chahiye — bina filter, bina agenda. Sirf haq aur sach. Tum aaogi?"
Zoya confuse thi. Uska naam wahan kaise involve ho gaya?
Par is baar Anas ki awaaz mein show-off nahi tha, sirf ek zarurat thi — ek sachchi awaz ki zarurat.
---
Conference Day:
Zoya panel ka part bani. Usne apne speech mein ek simple baat kahi:
"Padhai sirf degree nahi hoti. Padhai insaan ke sochne ka tareeqa banati hai. Aur jab soch saaf ho, tabhi system saaf ho sakta hai."
Anas ne panel ke baad Zoya ka shukriya ada kiya. Uski aankhon mein gratitude tha — bina attraction ke, bina drama ke. Sirf ek sammaan.
Raat ko Zoya apne kamre mein diary likh rahi thi:
"Aaj pehli baar laga ke kisi ne meri awaaz ko sirf sunaa nahi… samjha bhi. Par kya woh waqai waisa hi hai jaise dikhta hai?"
Uska dil bharosa karna chahta tha. Lekin zindagi ne use yeh sikha diya tha —
“Jis duniya mein sach bolna jurm ho, wahan kisi ki muskurahat bhi saboot maangti hai.”
---
Chapter 10: Sach Ke Saath Ya Duniya Ke Saath?
Subah ka waqt tha. Zoya university ke cafeteria mein apne notes revise kar rahi thi, jab ek news notification aayi:
“Youth Politician Anas Siddique accused of fund misuse in rural development project.”
TV par Anas ka clip baar baar chal raha tha. Uski tasveer ke neeche bold words mein likha tha:
"Fraud? Ya Framed?"
Zoya shocked thi. Usse Anas ki niyat par doubt kabhi feel nahi hua. Par media mein aayi har news use confuse kar rahi thi.
Dopahar ko Zoya ko ek unknown number se message aaya:
“You’ve worked with Anas Siddique. We want your opinion — Press Conference today at 6 PM.”
Zoya ne message dekha, phone down kiya, aur ghamand se nahi — balki uljhan se sochne lagi.
**"Main jaake sach bolu? Ya chup raho? Agar maine sach bola toh log kahenge main biased hoon. Nahi bola toh jo sach
***Download NovelToon to enjoy a better reading experience!***
Updated 3 Episodes
Comments