hum nhi sudhrenge

---

Chapter 6: Naye Umeedon Ka Safar

Scholarship ka final interview hone wala tha. Zoya ne sab kuch dil se tayaar kiya. Paperwork, research idea, presentation – sab kuch perfect. Magar uske andar ek bechaini thi… kahin na kahin ab bhi uska past use haunt karta tha.

Interview se pehle usne ek sajde mein sir rakha aur dua ki:

"Ya Allah, agar ye mere haq mein behtar hai, toh asaan bana de. Nahi hai, toh meri razamandi bhi uss faisle mein daal de."

Interview ke liye wo ek naye sheher gayi. Wahan ki hawa, log aur mahol sab alag tha – lekin ek cheez uske saath thi: uska imaan aur uska jazba.

Panel ne usse sirf technical sawal nahi poochhe – balki zindagi ke baare mein bhi poocha.

"Tumne kabhi challenge face kiya ho?"

Zoya ne halka sa muskarakar jawab diya:

"Main har roz face karti hoon. Main ek simple ladki hoon, jo sirf sach bolti hai, aur ye duniya sach se zyada darte logon se bhari hai."

Panel members ek dusre ki taraf dekhe – jaise unhe koi asli awaz sunai di ho.

---

Next Scene:

Do hafte baad Zoya ko ek email aayi –

“Congratulations, you have been selected for the International Women in Research Program.”

Uske haathon kaanpte the. Aankhon mein aansu the – lekin khushi ke.

Uski maa ne use gale lagaya aur kaha:

"Beta, tune duniya ka nahi, Allah ka bharosa rakha – isliye Allah ne tujhe izzat di,

---

Chapter 7: Badalte Sheher, Naye Chehre

Zoya naye sheher mein aa chuki thi – ek international research program ke liye. Ye sheher uske liye sirf ek naya academic world nahi tha, balki ek nayi duniya thi – naye log, naye culture, aur naye challenges.

Zoya ne apna focus sirf apni padhai aur mission par rakha. Din bhar lectures, evenings mein library aur raat ko sukoon se namaz. Uske dil mein ek hi iraada tha – apni pehchan ko banaye rakhte hue duniya mein kuch kar dikhana.

Ek din, university campus mein ek youth political seminar organize hua. Topic tha: “Leadership with Integrity.”

Seminar ka special guest tha – Anas Siddique. 30s ke aas-paas, confident aura, aur ek sharp mind. Wo kisi typical politician jaisa nahi tha – na fake promises, na dikhawa. Uski baaton mein tameez bhi thi aur taqat bhi.

Zoya seminar mein nahi jaana chahti thi, lekin ek friend ke kehne par gayi.

Anas ki speech seedhi dil tak gayi:

"Desh ki taqdeer sirf un logon ke haathon mein nahi honi chahiye jo zyada chilla lete hain, balki unke haathon mein jo khud se sach bolne ka hausla rakhte hain."

Zoya ne pehli baar kisi politician ki baat ko itni honesty ke saath mehsoos kiya.

Seminar ke baad, sab log selfie le rahe the. Zoya quietly wahan se jaane lagi, tabhi ek awaaz aayi:

"Miss Zoya, aapko milkar accha lagega."

Zoya ne palat kar dekha – Anas uski taraf badh raha tha.

Zoya (thoda hairan):

"Aapko mera naam kaise pata?"

Anas (muskurate hue):

"Research scholars ki list dekhi thi – aapke baare mein suna bhi hai. Sahi kaha na maine – aap woh ladki hain jo dikhne se zyada sochne mein strong hai."

Zoya chup rahi, thoda sa confused bhi thi. Usse nahi pata tha ke Anas sach mein impressed hai ya yeh sirf ek political image ka part hai.

---

Kya Zoya dubara kisi par bharosa kar paayegi?

Kya Anas uska sirf istemal karega, ya sammaan dega?

Chapter 8: Lafzon Ke Peeche Jo Chhupa Tha

Zoya us raat ghar laut aayi, lekin Anas Siddique ke lafz uske dimaag mein ghoomte rahe.

“Aap woh ladki hain jo dikhne se zyada sochne mein strong hai.”

Kayi log uski tareef kar chuke the, lekin is baar tareef mein koi matlab chhupa tha – jaise kisi ne uski rooh ko padne ki koshish ki ho.

Agle kuch dino mein Anas aur Zoya ki beech 2–3 baar mulaqat ho gayi – ek university event, ek community fundraiser, aur ek panel discussion mein. Har baar Anas Zoya ko observe karta, lekin kabhi us par personal comment nahi karta. Uska attitude respectful tha, lekin keen bhi.

Ek din Zoya ko ek email aayi –

"Ms. Zoya, hum aapko youth upliftment program mein guest speaker banane ke liye invite karte hain – under the mentorship of Mr. Anas Siddique."

Zoya pehle hesitant thi. Usne socha,

"Main sirf ek student hoon. In logon ke level ka nahi hoon."

Lekin phir uske andar ki awaaz boli:

**"Agar duniya tumhe sirf silent spectator banana chahti hai, toh kabhi kabhi jawab mein khamoshi nahi, himmat deni padti hai."

Episodes

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download NovelToon APP on App Store and Google Play