Kartik&Sirat:String of Love
riya se shadi
kartik
mene yeh kabhi nhi kaha par iska matlb yeh nhi ki is rishte ki koi maine nhi hai
manish
duniya nhi manta is rishte ko mai nhi manta or esa rishta rakhne ka kya fayda jo baki rishte ko barbad kar de tumhe jara bhi andaja nhi hai ki hume kitne sawalon ka jawab dena padega tumhare es ek rishte ke karn
kartik
mei kya karu un logo ka unke sawalon ka mei jawabdar nahi hu haa mei jawabdar hu papa but sirf apno ke liye aur mei already app logo ko clear kar chuka hua ek ek chiz
manish
to badnami karoge humari
all of them get shocked after hearing this
kartik
badnami to uski hui hai meri wajah se sare mohole ke saamne
manish
to ye kesa insaaf hai uski badnami hui hai to humari bhi hogi
kartik
to aap usko kyu dos de rhe hai *said shouting*
kartik
fesla to mera hai mera fesla
but before he could finish
manish
pati to usi ne padhai hogi naa
kartik
kisi ne koi paati hi padhai mera apna bhi to dimag hai na*said feeling irritating*
manish
esa dimag jisme mahan bane ke alawa koi or kheal hi nhi ata es ladki ke alawa tumhe to kuch dikhta hi nhi hai jaha se ise lae ho wahi chod aao is musibat ko taki hum chen ki saas le sake
kartik
sirat naam hai uska musibat nhi hai wo haa uski life musibat jarur hai par humari wajah se
manish
agar humari wajah se musibat hai to chod aao na ise jahan se ise lae ho
kartik
nhi ye yahi rahegi kahi nhi jayegi meri jimmedari par laya hu ise
manish
ye tumhari jimmedari kese hogai kabse hogai kaha se hogai isne khud kaha ya fhir nani ne kaha tumse ye bohot acha hai koi bhi pese wala mil jaye use fasa lo bas or uske baad jitna use karna hai use kar lo tumhe jara bhi andaza hai ki tumhe ye kitna us ekar chuki hai or sirf tumhe hi nhi tumhare us chote se bache ko bhi naira sirf sakal milti hai she is a copy
manish
isne apne sakal se kitna fayada uthaya hai tumhara par fhir bhi maan nhi bhara esa lagta hai abhi bhi lalach hai maan me tumhe jitna bharosa karna hai kar lo par me nhi karu ga
manish
mei kisi ko bhi apne pariwar or apne bete ka fayada uthane nhi dunga
kartik
bas bas kar dijiye papa bas please bas kar dijiye please is baat ko yahi khatam kar dijiye
manish
me tumse request kar raha hu ise is ghar se nikal do apne dimag se nikal do ise just concrete on your family apne pariwar apne bacho ke taraf apne kaam ke taraf riya ke taraf dhyan do use bate karo time spend karo uske sath jiske sath jindgi bitani hai
manish
are wo ladki kabse tumhari bachi ko sambhal rahi hai tumhari ek ek chiz ka dhyan rakh rahi hai wo are
but before he could talk further kartik said
kartik
ek minute papa ek minute ye aap kya kahe jaa rahe hai aap riya kaha se aagai bich me
manish
bich me riya nhi sirat aai hai tumhare or riya ke bich me riya to bohot pahle se rah rahi hai is ghar me humare sath tumhare sath par wo tumhe dikhti nhi hai tumhe ye nhi dikhta ki wo tumhare liye or tumhare bache ke liye kya kya kar rahi hai dhayan do thora uspar bhi kyuki ab me tumhe use ignore karne nhi dunga
manish
bhol jao is ladki ko tumhe bhulna hoga or sirf tumhe hi nhi kairav ko bhi bhulna hoga is ladki ko I have already decided tumhari uske sath sagai ho jayegi aaj ya kal me or fhir jald hi shadi bhi taki kisi ko bhi nhi bich me aane ka moka mile nahi sawal puchne ka and that is final
kartik
*shocked hearing this can't believe it what is happening looking with shocked eyes towards manish*
manish
ese kyu dekh rahe ho jese mene koi esi baat kahi hai jo tumhe pata hi nhi hai riya se shadi karne ke liye to tumne hi haa kahi thi naa
kartik
*in daze voice he said*mene! mene kab
everyone expect akhilesh and manish get shocked after hearing this
manish
it is a very good desision but ise sirf ek chiz kharab kar sakti or wo hai is ladki ka yaha rahna riya ke parents kal aa rahe agar ese dekh kar puche ge ki ye kon hai iska kya rishta hai tumse kya jawab dege hum unhe
kartik
ek minute papa ye sab kya chal raha hai papa shadi ki baat kaha se aagai kisne kaha ki mujhai riya se shadi karni hai
riya and surekha got shocked as if their happiness get snatched
kartik
apko galatfhemli hui hai papa mene kab kaha ki mujhai shadi karni hai or wo bhi riya se
manish
*get shocked to hear this*
everyone get shocked but dadi and gayu get relief that kartik didn't agree to marry riya
dadi get happy to hear that he didn't agree
manish
tumne ye baat khud akhilesh se kahi or mene suni bhi hai
kartik
chachu se *he said making don't know face *
akhilesh
nhi bhai sa humne es bare me baat ki hi nhi hai
manish
kyu jhuth bol rahe ho akhilesh mene khud apne kano se suna hai jab tum yaha khade ho kar bol rahe the sab kuch bhol kar age badh na hai bacho ke liye jindgi jini hai mene khud suna hai
akhilesh
wo to hum dance academy ke bare me baat kar rahe the bhai sahab
akhilesh
mujhai laga tumhe acha nhi lagega naira judi hai insan se
kartik
par me ab apni wajah se bacho ki khusi to barbad nhi kar sakta na
kartik
holi or dance competition ki baat ho rahi thi bache par mere nhi aasram ke bacho ki baat ho rahi thi or wese bhi in sab me shadi ki or riya ki baat kabse
kartik
papa apko koi galat fhemli ho rahi ek second apne meri shadi ka desision le liye or vo bhi mujhse bina puche hue or kia samjh rahe hai aap papa bacha hu me bada ho gaya hu mei mere khud ke bache hai ab aap mere liye fesla lege mere shadi ki baat mujhse hi puche bina ho rahi hai
kartik
or agar apko baat karni hi thi to mujhse karte chachu se kyu kaha baat karne ko or kisne kaha ki mujhai shadi karni hai me bada akela ho raha hu ye kyu kiya apne apko kyu laga ki me maan jauga
kartik
thik hai apko shadi karani hai meri apko lagta hai ki mei bada akela ho raha hu
kartik
to thik me kar lunga shadi me sirat se shadi karluga or wese bhi wo mere liye mere bacho ke liye to achi hi hai na unka itna khyal rakhti hai unhe itna pyar deti to thik hai me kar lunga sirat se shadi
sirat
*shocked to hear this *
author
tomorrow I will try to update more quickly and earlier ok
author
and tell me how is the story going on
author
and how u went to watch the story I will try to make it like that in this story or another story ok
Comments
farmy 7
I couldn't put this book down, it had me hooked from the first page.
2025-06-14
1