Chalo phir se milte hain
Ikraar karne ko
Jo baatein adhoori reh gayi thi
Use izhaar karne ko
Chalo phir se milte hain
Jo bhi humse gustakhi hui
Chalo bhool ke ab bas pyar karein
Tum shamon mein phir sun�ne aao
Phir ishq pade gulzar bane
Bahut karli baatein logon ne
Bas ab aur na ho deri
Bahut ab beet liye savan
Phir us hawa se milte hai
Jahan pehli baar gale mile
Us jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jaye
Us wajah se milte hain
Jahan pehli baar gale mile
Us jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jaaye
Us wajah se milte hain
Dekh ke sitaron ko
Phir se un bahaaron ko
Dil ke bimaron ko dawa di jaye
Phir se muskurate hai chal
Chand ko bulate hai
Hathon ko mila ke phir
Dua ki jaye
Baat itni si hi toh thi
Baat ko yahi chhodte hai
Kirat se phir se pyar ho jaye
Bas us tarah se milte hai
Jahan pehli baar gale mile
Us jagah pe milte hain
Shayad fir se dil mil jaye
Us wajah se milte hain
Pehle toh chup se rhenge
Phir dheemein se bolenge
Kandhe pe sar rakh unke
Bahaane se ro lenge
Woh thoda thoda ladte rhenge
Par bichhadne ka dar bhi rahega
Honthon se shikwe kiye jo sab
Aansuon se dho lenge
Jale panno ki kahani ko
Sunane ka mauka toh do
Yeh mauke dil ko jod de jo
Bas ek dafa hi milte hai
Jahan pehli baar gale mile
Us jagah pe milte hain
Shayad phir se dil mil jaye
Us wajah se milte hain
Comments
𝕽𝕾 𝕿𝖍𝖚𝖓𝖉𝖊𝖗 ♎︎࿐ [LEFT]
bhai last main voice(song) de...
2022-09-22
10