Ye kambakht haqikat hai ki tu mujhe ab kahin nazar nahi aayega, Jis chehre se din ki roshni mila karti thi,
Woh ab khwabon mein bhi dikhayi nahi dega.
Woh lamhe jo teri muskurahat se roshan hote the,
Ab woh andheron mein kho jayenge,
Aur main bas yaadon ki parchhayi mein
jeene ko majboor ho jaaungi...
Woh raaste jo humne saath chalke dekhe the,
Ab woh tanhaayi se lipte hue nazar aayenge...
Teri awaaz jo kabhi dil ko sukoon deti thi,
Ab woh khamoshi mein ghul kar gum ho jaayegi.
Meri har subah jo tere naam se jagti thi,
Ab woh raat ke andheron mein simat
jaayegi.
Tu jo mere saath ek khwab sa tha, Ab woh haqikat ban ke mujhse door ho
jaayega.
Ye sach hai, tu ab kahin nazar nahi aayega,
Magar teri yaadein
Teri yaadon ka saaya har pal mera saath nibhaayega...
-Roohi