06.09 11:32 PM
Jaanam.
Mizaaj kuch mera ab theek sa nahi,
Dil kuch mera muqabla kar raha dour kar,
Ankhe neend se tarsi Hui laal jisme jalan be shumar,
Dimagh kuch mera band band sa,
Par us band dimag me sonch sirf unki,
Iss haal me bhi unko hamne bhula nahi na hamare dimag ne jurrat ki,
Sonch sonch me sonchte hue unka hath mere tapte hue mathe par sehlaya,
Sukoon kabi suna hai apne?
Sukoon hamne jab mehsoos hua sukoon jaise sabah ki thadi thadi fiza guzre,
Sukoon jaise pahad ya vaadiyon ka hara bhara nazara,
Sukoon jaise khule aasmaan aur taaro ko dekhna thad ya garma,
Jaanam tumhe sukoon ab aur kis tarha bayaa Karu?
Tum to khud he mere ankho ko sukoon ho,
Tumhara to nafsee mizaaj he sukoon hai,
Ab ye sonch aur sukoon ka silsila khatam Kara to paaya unko apni baaho me,
Sukoon chain Aman tasalli ye sab kya hota hai?
Mera mijaaz ab kuch unme chala gaya hai.