Mein chund lafz hoon
Tu chand si kavita
Mein ek kora kaagaz
Tu ek naami kitab
Mein faqat sher
Tu ek nayaab ghazal
Mein pathjhad mein sukhe patto ka dher
Aur tu baharo mein khilte gulaab.
Mein matr kaale safed ka chitr hoon.
Aur tu ek rangeen kala
Mai jalta huwa ek seher.
Tu sitaron se bhara chamkta aasman
Mein december ki sard hawa
Tu November ki dhoop ki garmahat
Mein nadi kinate pada pathar sa
Tu jagmagata kohinoor sa.
Mein baarish ki barasti bundo me ek tu em gehre sagar sa
Mei rakh ke bhula huwa purana kissa
Tu mehfil ki mashoor kahani
Mein dastaan-e-maut
Tu maare huwe ko hayaat ssa
Mein zakham se behta huwa lahu
Aur tu zakham mei marham sa