A small poetry to describe how you feel when you can't confess (Hindi)
Kehna tha kuch tumse par ab, rehne do
Bankar dost hi hai rehna to ab rehne do
Eshaare kiye the kuch jab tum ne kaha tha ki abhi rehne do.
Dard hai to thoda, ro lenge hum, ansoo na bahao
Tum rehne do.
Mukaddar har kisi ka saath nahi deta
Jab tha samay tab tune mera iqraar nahi dekha
Or kya kehti thi, ruko, tumhari jindagi me hame bhi aane do
kyu banna hai nakli, ab yaar hame jaane do.
Talaash thi tere jaise ishq ke ek badal kiJo kuch boonde ham pe bhi barsaye
Or ab saari raat jagna or ashkon ka behna
Hamko ye akele hi sehne do
Bas ab jao hamse door hame thoda sa jinda rehne do.
Ye teri muskaan pe mai marta tha
or teri in ankho se zara sa darta tha.
Ab inpe hai nahi haq mera.
To ek akhri baar inhe takne do.
Jo inn nson se beh raha hai khoon, malham mat rakhna
Thoda tadpne do ise behne do......
Sanse ab hai to nahi par
tera gale se lagana kaam kar gaya
Meri saari peed ko mitane vala ilaaj ban gaya.
Maut le gayi hame ye bol kar
Kab tak tum ye sab sehte raho ge
Bas karo rehne do
Iss pathar e dil ko bhi to kuch
sehne do
Iss pathar e dil ko bhi to kuch
sehne do