NovelToon NovelToon

Dil-e-Sabr

Aamade-e-Kahani

Amina Khan
Amina Khan
Salam, mein Amina Khan hoon. Meri umar 24 saal hai. Main ek behtar talqeen k liye padhai ki talash mein hoon, aur meri family ne hamesha taleem aur deeni values ko bohot ahmiyat di hai.
Amina Khan
Amina Khan
Mere chhote bhai, Ahmed ki umar 18 saal hai aur wo engineering ki padhai kar raha hai. Mere abu, Rashid Khan, retired school teacher hain, aur meri ammi, Sadia Khan, ek homemaker hain jo apni mazboot imaan aur hikmat ke liye mashhoor hain.
Amina Khan
Amina Khan
Mujhe likhna pasand hai aur main freelance writer hoon, jahan main mukhtalif Islamic publications k liye likhti hoon.
Zayd Ali
Zayd Ali
As-Salam-u-Alaikum, mein Zayd Ali hoon. Meri umar 26 saal hai aur main ek daulatmand family se hoon. Mere abu, Faizan Ali, ek successful businessman hain, aur meri ammi, Saira Ali, ek socialite hain. Mere chhoti behan Laila ka fashion design mein padhai kar rahi hai. Or Mai Amina ka Mangetar hu ..
Zayd Ali
Zayd Ali
Main business ki field mein kaam karta hoon, lekin meri khud ki khwahish kuch aur thi.
Amina aur Zayd ki dosti bachpan se hai, Un Dono ki engagement do saal pehle hui thi,
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Salam, mein Fatimah Rahman hoon. Meri umar 25 saal hai aur main ek religiously devout family se hoon. Main apne chaar behno ki badi behan hoon aur meri family ka nizam ibadat aur taaleem par mabni hai. Mere abu, Iqbal Rahman, ek Imam hain aur meri ammi, Nazia Rahman, ek Quranic studies circle chalati hain.
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Main ek Islamic school mein teacher hoon aur Main Amina ki sabse achi dost hoon.
Kamal Siddiqui
Kamal Siddiqui
As-Salam-u-Alaikum, mein Kamal Siddiqui hoon. Meri umar 28 saal hai aur main ek middle-class family se hoon. Mere abu, Aftab Siddiqui, ek chhoti dukan chalate hain, aur meri ammi, Farah Siddiqui, retired nurse hain. Main akela bacha hoon, isliye mera aik strong sense of independence hai.
Kamal Siddiqui
Kamal Siddiqui
As-Salam-u-Alaikum, mein Kamal Siddiqui hoon. Meri umar 28 saal hai aur main ek middle-class family se hoon. Mere abu, Aftab Siddiqui, ek chhoti dukan chalate hain, aur meri ammi, Farah Siddiqui, retired nurse hain. Main akela bacha hoon, isliye mera aik strong sense of independence hai.
Kamal Siddiqui
Kamal Siddiqui
Main psychology ki padhai ki hai aur counselor ke taur par kaam karta hoon

"Amina ki Duaa: Iqbal aur Dard"

Fajr ka waqt hai, Adhan ki narm aawaaz peechay goonj rahi hai. Amina apne ja'inamaz par baithi hai, chhat ki taraf dekh rahi hai. Uska dimagh bhatak raha hai, dua ke lafz par dhyaan dene ki koshish kar rahi hai, lekin Zayd ka door hona uske khayalon mein hai. Achhanak se Uska phone vibrate hota h ..
Amina ne jald dua mangi or phone ki taraf dekho tou paya ke Fatimah ka message aata hai.
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Amina, tum theek ho? Raat se tumhara koi jawab nahi aaya. Kal ki baat se pareshaan lag rahi thi.
Amina Khan
Amina Khan
Fatimah, main samajh nahi paa rahi ke kya karoon. Zayd bilkul badal gaya hai. Pehle jaisa nahi raha. Woh... door hota jaa raha hai. Mujhe lagta hai woh mujh se sach nahi bol raha...
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Pyar aur yakeen ka rishta hota hai Amina. Tumne kabhi socha ke shayad kuch uske zehan mein chal raha ho? Kya tumne poocha hai?
Amina Khan
Amina Khan
Main kitni dafa pooch chuki hoon. Har dafa woh muskurata hai aur kehta hai, "Sab theek hai." Lekin dil kehta hai ke sab kuch theek nahi hai, Fatimah... kuch chhupa raha hai.
Uski nazar ghadi par jaati hai; waqt guzar raha hai.
Uska dil bhaari mehsoos hota hai, lekin woh apne bechaini ko chhodne ki koshish karti hai jab woh sujood mein jhukti hai, saaf sochne ki dua karte hue.
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Dekho Amina, agar tumhara dil bechain hai, toh tumhein kuch toh karna hoga. Chup rahi toh sirf andhera badhega. Allah pe bharosa rakho aur Zayd se seedhi baat karo.
Amina Khan
Amina Khan
Main us se baat karungi, lekin dar lagta hai... agar jo soch rahi hoon, woh sach ho gaya toh?
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Agar sach samne nahi aaya toh tum kab tak yunhi pareshaan raho gi? Aaj nahi toh kal tumhe apne dil ke sawaalon ka jawab lena padega. Khud se bhi aur us se bhi.

Dar aur Aitmaad

Amina gehri saans leti hai,
Uske haath tasbih ke motiyon par chal rahe hain.
Usse pata hai Fatimah theek keh rahi hai, lekin sach ka samna karne ka dar uske pet mein sholay jaisa hai
Woh phone uthati hai aur Zayd ke messages dekhne lagti hai
Amina Khan
Amina Khan
Uski jawab dheere, aur beparwah hoti ja rahi hai. Wou khud me gudgudaati hai
.
Amina Khan
Amina Khan
.
Amina Khan
Amina Khan
Fatimah, main jaanti hoon ke kuch theek nahi hai. Lekin himmat nahi ho rahi samna karne ki.
Fatimah Rahman
Fatimah Rahman
Amina, yaqeen rakho apne rab par. Tumhe is waqt himmat zaroorat hai, aur woh tumhe milegi. Dua karo aur apna dil halka karo. Allah kabhi apne bandon ko tanha nahi chhodta.
Lambi khamoshi hai jab Amina apne agle kadam par ghoor karti hai. Phone uske lap par hai, aur Fatimah ke beech mein khamoshi ek toofan se pehle ki shanti ki tarah hai.
Amina Khan
Amina Khan
Kya Zayd waqai door ho raha hai ya yeh sirf mera weham hai? Woh pehle jaise kareeb kyun nahi lagta? Kya humara rishta waqai Allah ki raza ke mutabiq hai? Kya mujhe is rishte se wo sukoon mil raha hai jo ek shaadi ke rishte mein milna chahiye?

Download MangaToon APP on App Store and Google Play

novel PDF download
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play