NovelToon NovelToon

BEETE HUYE KAL KA ISHARA

TRAILOR!!

TRAILOR!
Kali Andheri raat
Chand apni haliki roshani zameen par bikher raha tha. Thandi hawaye saye sayen karti is raat ko aur bhayank bana Rahi thi!
Sunsan sadak par ek car jungle ke raste tez gaati se daud rahi thi.
NovelToon
tabhi driver ne achanak jor se break maari aur sambhalte hue jab usne upar dekha to use ek saya nazar aya Jo thik uske car ke aage khada tha!
Saye ko dekhkar wo samjh chuka tha ki yeh ek ladki hai! Uska dar khatam hua aur wo jor se chillaya!!
NovelToon
someone
someone
Kon ho tum !?
someone
someone
Itni raat ko mere gaadi ke aage marne q ayi ho !?
someone
someone
hat jao samne se nhi to tumpar gadi chala dunga .
Aisa kehte hi wo gaadi start karta hai tabhi uske kaano me awaz gunjti hai ...
someone
someone
KAL RAAT EK KHWAB BUNA MENE PURI DUNIYA ME BAS TUJHE CHUNA MENE DEKH KAR ISHAQ TERA MERE ASAMAN NE PHIR PYAR KI BUNDO SE NAWAZA MUJHE!
Yeh sunte hi us admi ke chehre par gusse ki jagah ab dar ne le li. Uske mathe se pasina behne laga. Kaapte hatho se usne gadi ka door khola aur bahar aya .
Ghabraye hue usne fir kaha .
someone
someone
Ko…kon…kon...ho tum!
someone
someone
Is ga..ga..gane ko kese ko janti ho !
par use jawab me fir wahi gungunahat sunayi di!
someone
someone
KAL RAAT EK KHWAB BUNA MENE PURI DUNIYA ME BAS TUJHE CHUNA MENE DEKH KAR ISHAQ TERA MERE ASAMAN NE PHIR PYAR KI BUNDO SE NAWAZA MUJHE!
Ab wo Puri tarah dar ki agosh me tha sar se lekar pav tak uska pura sharir kaap gaya !
Usne jaldi se apna phone nikala aur torch on ki aur uski aur badhne laga!
Jese hi torch ka light us ladki ke chehre par pada us admi ki maano ruh tak kaap gayi dekhte hi !
someone
someone
T..t..tu.tu...tu..
Tabhi ladki ne creepy smile di aur...
Isse pehle ki wo apna word pura kar pata agle hi pal uski gardan uske dhad se alag ho chuki thi !
someone
someone
(uske Kate sar ko balo se pakad kar hat me uthate huye wo jor jor se bhayank hasi hasne lagi)
someone
someone
Sab marenge mwahhhaaahhaaa Sab sab sab marenge !!!!
Usne uska sar ball ki tarah feka aur waha se jaane lagi wahi gungunate hue
someone
someone
KAL RAAT EK KHWAB BUNA MENE PURI DUNIYA ME BAS TUJHE CHUNA MENE DEKH KAR ISHAQ TERA MERE ASAMAN NE PHIR PYAR KI BUNDO SE NAWAZA MUJHE!
Is baat se anjan ki waha koi aur bhi hai jisme use dekha hai wo waha se raat ke andhere me kahi ojhal ho gayi. Aur wo admi muskurate hue ped ke piche se bahar aya aur us lash ko thikane lagane laga.
her admirer
her admirer
silly girl apko marne ke baad lash ko decorate bhi karana chahiye tha (muskurate hue )
NovelToon
Us kash thikane lagane ke baad wo bhi waha se wahi gana gungunate hue andhere me kahi gayab ho jata hai.

kon hai yeh !!

Agla din !!!
NovelToon
Har taraf news me sirf ek hi khabar !
Kal raat bich sadak par Jo murder hua kisne Kiya kese Kiya aur q Kiya!?
police bhi lash dekhkar ek pal ke liye dar gayi !
lash ka dhad ek ped ki tehani se ulta latkaya hua tha . Uske hath niche ki aur latakte hue ,Pancho unhgliyo me gehre gaddhe jinme se uska khun zameen par gira hua tha.
Uski gardan uske dhad ke baju me hi ulti latki Hui . Jisse uski Kati hui gardan se khun behta hua uske chehre par aa chuka tha aur uska chehra usike khun se surkh laal ho chuka tha .
Ankhe itni badi khuli Hui jaise usne kuch bahot bhayankar dekh liya ho.
Aur ped par usike khun se bade aksharo me likha tha . SAB MARENGE!!!
Yeh dekhkar reporters bhi dehal gaye !
Waha police apna investigation kar rahi thi aur reporters unse sawal !
Reporter inspector se : sir kya lagta hai apko ye sab line kiya hoga kya aap unhe jaldi se jald pakad payenge?
Inspector: dekhiye murder bahot safai se Kiya Gaya hai maarne Wale ne apne khilaf ek bhi saboot nahi chora hai kehna bahot mushkil hai ki jaldi pakad liya jyega par hum apni Puri koshish karenge.
someone
someone
(rahsyamayi muskan ke sath TV band karte hue ) yeh to bas shuruat hai hahhhahaaaa .!!!!
NovelToon
someone
someone
Par us lash ko is tarah kisne is tarah rakha !
someone
someone
Kon hai yeh Jo is tarah meri help kar raha hai ??
someone
someone
Kya mujhe isse koi khatra hai??
someone
someone
Kon ho tum akhir par jo bhi ho creative ho (ek smirk ke sath wo apne couch par piche sar ko rest dete hue baith gayi )
someone
someone
(ankhe band kar ke) jaldi milenge Mr or Ms creative helper.
NovelToon
Dusri taraf!
her admirer
her admirer
(Smile karte hue tv par news dekha Raha hai ) kesa laga mera gift meri queen!!
her admirer
her admirer
pehle murder ki badhayi ho my love !!
NovelToon
Wahi ek taraf koi apne office me baithkar is news se Puri tarah gusse se bhar Gaya tha .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
(news dekh kar gusse se ) kisne kiya yeh !?
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Kon hai yeh jisne is tarike se mere best friend ko mara !!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Uski ankhe ..uski ankhe aise fati hui thi jese usne kuch bhayanak dekh liya hai !!!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Kon hai yeh q usne mere best friend ko is tarah mara !!! (mutthi apni chair ke handle par patkete hue )
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Aur wo likhawat sab marenge kya matlab hai iska !! Kis baat ki aur ishara hai !!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein pata lagakar rahunga akhir kon hai yeh !!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
NovelToon
Rahul apne soch me duba hua tha ki use achanak uske kaano me gunguhat sunayi di.
KAL RAAT EK KHWAB BUNA MENE PURI DUNIYA ME BAS TUJHE CHUNA MENE DEKH KAR ISHAQ TERA MERE ASAMAN NE PHIR PYAR KI BUNDO SE NAWAZA MUJHE!
Yeh sunte hi Rahul ke roungte khade ho gaye aur wo apni sit par baithe baithe hi kaapne laga !
Use fir wahi gungunahat ek baar aur sunayi di !
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
NovelToon
Usne choukte hue office ke darwaze ki taraf dekha aur jese tese khud ko sambhalte hue darwaze ki taraf dhere dhere kaspte hue badhne laga.
Jese jese wo darwaze ki taraf badh raha tha wese wese wo gunguhat aur tez ho rahi thi aur darwani ho rahi thi !!
Usne apne kaapte hatho se darwaza khola jese hi usne darwaza khola to dekha ...

flashback 1

Usne apne kaapte hatho se darwaza khola jese hi usne darwaza khola to dekha ...
waha koi nahi tha pura coridor Khali tha bas ek safai karmi floor saaf kar raha tha !
Rahul ne Rahat ki saas ki aur fir wo apne cabin me chala gaya!
Wo safai karmi mooda aur Rahul ki cabin ko dekhte hue creepy smile ke sath dekhte hue badbadane laga
NovelToon
LISTEN TO THE MELODIES OF A NIGHT HUNGER OH WHAT THEY SAY SCREAMING DOWN IN WONDER SOMEONE GONNA DIE IN LIGHTS DIM OH IT IS HIM HAHAHAHHAHAAAHAAA
(THIS POETRY IS FROM MY FAVOURITE AUTHy "BUNNY AUTHU" thank you my bunnu )
Kahani pe wapas aate hai !
Yeh bolkar wo waha se jaane laga whistle karte hue usi dhun me Jo dhun sunkar abhi Rahul ke rongte khade ho gaye the !
Rahul for ek baar dar se kaap Gaya aur furti se bhagte hue darwaze ki aur gaya lekin tabtak wo admi waha se ja chuka tha !
Ab Rahul dar chinta aur gusse se bhar Gaya tha !
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Yeh kya ho raha hai !!!!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
itne time baad wahi dhun wahi ganaa kese !!!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Use to mene apne hatho se (apne dono hatho ki taraf dekhte hue wo flash back me jaane laga )
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
NovelToon
Flash back!!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein 20 saal ka apne college ke pehle din kaafi late ho chuka tha .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
mein college gate par pohocha tabhi watchman uncle ne mujhe roka aur waha unse behas karne me kaffi waqt Jaya hua.
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein jese tese unse picha chudakar entry ki aur bhagte hue apni class ki aur jaane laga .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Tabhi mene piano par ek bahot surili dhun suni.
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Aur us surili dhun ke sath ek bahot mithi surili awaz jo mujhe apni aur khiche chali ja rahi thi .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein us awaz ka picha karte hue music room ki aur badhne laga .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Jese hi mein us room Tak pohocha aur door kholne wala tha tabhi piche se ek kadak aur gusse se bhari awaz ayi.
Teacher : hey tum tum new batch ho na yaha kyabkar rahe ho chalo apni class me jao abhi ke abhi
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mene unhe dekha aur sorry bolkar apni class ki aur badh gaya .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Par mere dimag me bas wahi dhun aur wahi surili awaz gunj rahi thi .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Awaz itni mithi aur surili hai to wo dikhne me kitni khubsurat hogi isi soch me mein dinbhar class me dhyan nahi de paya.
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
break time me socha shayad wo wahi ho but meri kismat wo waha nahi thi. Din bita aur class khatam ho chuki thi .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein apna saman pack kar hi Raha tha ki tabhi..
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
mujhe mere kaano me fir wahi dhun sunayi thi mein chouk kar kiss break ki aur jhat se us dhun ke piche bhagne laga .
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Lekin jese mein fir music room ke pass pohocha wo pura Khali tha
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Mein fir nirash hokar wapas jaane laga lekin ab wo dhun mere dil -o-dimag par cha chuki thi
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
Anjane me hi mein wo dhun gaane laga KAL RAAT EK KHWAB BUNA MENE PURI DUNIYA ME BAS TUJHE CHUNA MENE DEKH KAR ISHAQ TERA MERE ASAMAN NE PHIR PYAR KI BUNDO SE NAWAZA MUJHE!
Rahul (ml2)
Rahul (ml2)
NovelToon

Download MangaToon APP on App Store and Google Play

novel PDF download
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play