NovelToon NovelToon

Story Mania (Hindi)

Cute aggression!

Remer
Remer
Kaha hai beta aap?
Ek gehri awaz poore kamre ko apne agosh me bhar chuki thi!
Bed ke neech chupi ladki ko sirf iss aadmi ke pair dikhai de rahe the!
Ella
Ella
*dubki, chupti, hui ladki apne hi haathon se apna muh band karte hue or peeche ki tarf khisakne lagi*
Remer
Remer
Beta ese nahi chupte, aapko pata hai na agar hamne aapko dhoodh liya to kya hoga.
Ella
Ella
*Dar ki vajah se ankhe band hone lagi or kaanpte hath muh se dheere dheere khiskane lage*
Remer
Remer
Kaha hai aap beta, kyu hame pareshaan kar rahe hai?
Remer
Remer
Apko bhookh lagi thi na beta, dekhiye ham ne aap ke liye kya banaya hai
Bade hi dheeme se Bed ke ek sire se doosre sire tak gujarte hue kadmon ne Ella ko khauf se robaroo jaroor karva Diya tha. Iss hadd tak ki uski sanso ko rukne par majboor hona pada.
Remer
Remer
Hame pata hai aap yahi kahi hai,
Ab in kadmo ko seedhe kamre se bahar jana sahi laga.
Ab Remer kamre se bahar tha, or usne darvaz a bhi Banda kar diya. Koi jaal, ya shayad usse yaha Ella ki maujoodgi ka koi andaza hi nahi tha!!
Ella
Ella
*bahar ana to chahti thi par uske pair thar thara rahe the*
Scene shift hota hai!!!
Ms.Therese
Ms.Therese
Akhir kha hogi hamari beti??
Ek sisakti hui awaaz ne kisi se gujarish karte hue kaha!
Ms.Therese
Ms.Therese
Kis haal me hogi vo! Aap madad kijiye hamari!
Romario
Romario
Ham apni taraf se poori koshish kar rahe hai Ella ko dhoodne ki.
Ek bhari awaj unhe dilasa dete huye boli.
Koi chahal pahal se bhari jagah thi!
Ms.Therese
Ms.Therese
Vo kuch ghante pehle to hamare saath hi thi, or phir achanak hi....... Vo hamari ankho se ojhal. ho gayi!!
Romario
Romario
Ji, ye baaten aapne pehle bhi batai hai. Kya aap kuch bhi esa bata sakti hai Jo aapko lagta ho, hamari madad kar sakte hai use dhoodhne me!!
Romario
Romario
Hamare paas is waqt sirf ye aapki di Hui photo or ye jaankari ki aap yaha naye hai.
Mr. Therese
Mr. Therese
Ji
Ye awaaj bhi bhari thi, par iss awaj me kisi se bichadne ka gam tha!!
Mr. Therese
Mr. Therese
Ji aap sahi keh rahe hai, Ham yaha naye hai the. Abhi to hame yaha aye hue ek hafta bhi nahi hua. Fir bhi hamari beti ko kis ne nazar laga di.
Romario
Romario
Mr. Therese aap chinta na karen.
Mr. Therese
Mr. Therese
Aaj shaam se hamari beti gayab hai, uska koi pata nahi hai or aap keh rahe hai ki ham chinta na karen.
Romario
Romario
Shant ho jaye Mr. Therese aap ek police station me hai! Or ham aapki madad hi karna chahte hai.
Mr. Therese
Mr. Therese
Maaf karen Sir! Par hamari beti ka pata lagiye!! Jitni jaldi ho sake...

Cute aggression

Police station me!
Romario
Romario
Ham pichle ek mahine se iski talaash kar rahe hai. Par hamare haath aaj tak ek kadi bhi nahi lagi. No koi saboot na gavah!
Gerik
Gerik
Sir, or ese hi is hafte bacho ka gayab hona, doosri baar hai. Or uski bhi laash sir 3 din pehle hi ek kachre ke dabbe me mili thi!
Gerik
Gerik
Sir, koshish ke Alva kar bhi kya sakte. Ye aadmi koi galti ar hi nahi Raha.
Gerik
Gerik
Sir ye koi psychopath hi hai, kyuki iske saare shikaar badi hi dardnaak tareeke se dabaye hue milte hai.
Gerik
Gerik
Jaise un masoomon ko isne gale laga kar mara ho!
Romario
Romario
Par abhi bhi ye ladki hame mili nahi hai. Shayad iss bar ye iska shikaar na bani ho. Or us upar vale se mai yahi mangta hu ki Ella ko kuch na ho.
Gerik
Gerik
Sir, pichle poore mahine me hamne har ek masoom ke liye bas yahi dua maangi hogi.
Utne me Romario ka phone bajta hai!!
Mr. Therese
Mr. Therese
Hello!
Romario
Romario
Ji, boliye Mr. Therese.
Mr. Therese
Mr. Therese
Sir, kuch pata chala hamari beti ka?
Romario
Romario
Ji, abhi tak to nahi. Par jaise hi hame kuch bhi pata chalega, ham turant hi aapko batayenge!!
Mr. Therese
Mr. Therese
Sir, ham aapke haath jodte hai. Please jaldi kijiye, jaane kya hua hoga Ella ko, najane kis haal me hogi vo.
Romario
Romario
Mr. Therese app chinta na karen. Ham poori koshis kar rahe hai!
Phone rakh Diya jata hai!

Cute aggression

Iss kahani ki ek kadi hame ek mahine peeche le jaati hai, Jaha
Dr. Arthur
Dr. Arthur
Aap ab bilkul theek hai, Mr. Remer.
Ham Remer ko ek therapist ke paas baithe dekhte hai
Remer
Remer
Kya mujhe ab koi ajeeb khayaal to nahi ayenge na Dr. Arthur?
Dr. Arthur
Dr. Arthur
Dekhiye Mr. Remer aapko hamne apne inn khayalon ko kaaboo karna sikhaya hai. App bilkul chinta mat kijiye!
Dr. Arthur
Dr. Arthur
Or ab to aap apne depression se bhi bahar hai. Or ab aap chain se so bhi payenge!
Dr. Arthur
Dr. Arthur
Kyuki aapko Jo neend na aane ka Karan tha yani ki aapka depression vo ab poori tarah se theek hai!
Remer
Remer
Jaisa aap kahe doctor!
Bas shayd yahi unke beech ki aakhri baat thi!
Iske turant baad hi Remer hospital se nikal kar seedhe chlne lagta hai.Or thodi door chalte hi use kuch bachon ki khelne ki aawaajen sunai deti hai.
Unhe nazarandaaz kar ke vo aage badhta hai tabhi, achanak Remer ke haath kaapne lagte hai or hame uske aage ek masoom dikhta hai. Jis par Remer aankhe gad jaati hai.
Remer
Remer
Mai kya karu, mujhse ruka nahi Jaa Raha. Ye kitna pyara bacha hai.
Uske muh par ek daravani hasi or ankhon me ek ajeeb si chamak ne apni jagah bana Li thi.
Ab ham vapas Aaj ki taraf Rukh Kate hai.
Ye koi sunsaan jagah hai
Hamri nazron ke saamne ek kaale libaas me ek aadmi ka saya ata hai. Kaafi ache se isne aapni shakal chupai Hui thi.
Ek bade kaale plastic bag me vo kuch ek kachre ke dabbe ke paas fekta hai or mud kar usi kaali raat me kahi gum ho jata hai!
Doosre din usi dabbe ke paas kuch jyada hi jaanvaron ko dekh kar ek bhikhari vaha pohochta hai.
Uski awaaz uske halak me atak gayi thi, bahar aane se katra rahi thi jaise hi usne vaha ka vo Dil dahla dene vala manzar dekha hai.

Download MangaToon APP on App Store and Google Play

novel PDF download
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play