chapter 20

Ved hi nahi sabhi society wale us din ka intazar kar rahe the. Year mei ek baar sab milkar celebrate karte the. Sabse jyada toh youngs excited the kyuki is din woh sab sare kaam chodkar society mei sabke sath enjoy karte the.

Aur us baar Singhal family party host kar rahi thi sab aur bi excited the. After all, Singhal family is society ki number one family mei joh thi. Upar se Ved is party ko aur yaadgar banana chahta. Sab decoration or programs ki taiyari bhabhi aur Vedika ke hath mei thi. Is party mei sabko apna apna talent dikhane ka mauka milta hai aur entertainment ke liye kuch games bi play karte hai.

Bhabhi ne sabse puch liya tha ki kaun kaun programs aur games mei participate lena chahta hai? Bhabhi aur Vedika ne ek couple games ka bi arrangements kiya tha specially Nisha aur ved ke liye. Vedika ne kavita aur raman ko ready kar liya tha ki woh Nisha ko participate lene ke ready kar le bad mei woh ved ke sath couple bana dege.

Suruwat mei th kavita ne mana kar diya kyuki Nisha aj kal udas thi aur woh kisi se bi baat nahi kar rahi thi. Kavita apni cousin ko aur udas nahi karna chahti thi par Vedika ne insist kiya ki yeh Nisha ki bhalai ke liye hai toh kavita maan gayi.

Ab bas ved se baat karni thi. Dinner ke baad bhabhi aur Vedika ne ved ko is bare mei bataya toh ved ne mana kar diya, "nahi bhabhi, isse woh aur naraz ho jayegi. Mai usko ache se janta hu."

Bhabhi boli, "toh hum kya kare? Tum hi batao?"

Vedika boli, "bhaiya, aap Nisha di ko kitna jante hai? Kewal kuch months se aur apne jayada time bi spend nahi kiya unke sath. Mai unko ache se janti hu. Believe me it's good idea."

Ved ne abhi tak kisi ko nahi bataya ki woh Nisha ko kai saalo se janta hai isliye usne Vedika ki baat ko mind nahi kiya. Woh muskurate hue bola, "woh aise embrassment feel karegi. Mujshe usse baat karne ka ek mauka chahiye bas."

Bhabhi ne pucha, "Agar apki baat karne se woh nahi mani toh?"

Ved halka sa hasa, "bhabhi, aap apne devar ko underestimate kar rahi ho. I am confident that woh jarur man jayegi." Ved ne sab plan kar rakha tha.

Bhaiya ne proudly ved ke shoulder par pat kiya aur hase, "now, you are talking like a man."

Bhabhi aur Vedika dono bhaiyo ko dekar hasne lagi. Vedika boli, "dekhte hai. Agar Nisha di manti hai ya nahi apki baat karne ke baad."

Bhabhi kuch sochte hue boli, "thik hai.. mai kuch sochti hu."

Ved muskurate hue bola, "Bhabhi, mere ek act ke liye space rakha. Aur uske baad mujshe Nisha se baat karni hai."

Bhaiya ved ki taraf dekhte hue bole, "tune kya soch hai?"

Ved muskuraya, "it's surprise."

Bhaiya bhabhi aur Vedika ne ved ki suspicious se dekha par ved ne kuch nahi bola.

Function wale din,

Nisha ka mood thik nahi tha woh jana nahi chahti thi. Ek toh woh abhi tak soch payi thi ki ritika ko kaise face kare dusra woh ved se milna nahi chahti thi. Woh khud nahi samjh pa rahi thi usne us din ved ki kiss ka kyu response kiya? Woh ved se jayada apne aap par gussa tha. Bua ji aur kavita ne Nisha se kuch nahi pucha par society mei sab kya keh rahe the woh sab samjhti thi.

Woh jiske liye ek city mei ayi thi woh th kaam hua nahi par sab gadbhad jarur ho gayi. Usne apne office mei baat kar li thi. Woh resign kar rahi thi. Company ke rules ke according usko ek month phele notice dena tha. Waise usne kisi ko nahi bataya tha abhi tak. Kewal Uske boss hi jante the is bare mei. Woh work mei potential thi islye uske boss ko shock laga. Par usne jab bola ki woh apni family ko miss kar rahi hai toh uske boss ne kuch nahi kaha. Even yeh ek childish excuse tha par bahut sare youngster apni family se dur nahi reh sakte. Aur apne career mei comprises karte hai. Even aise log kam hai par hai Isliye yeh excuse valid bi tha.

Woh bas is month ke khatam hone ka wait kar rahi thi. Abhi ek week hi bacha tha. Agar yeh function ek week baad hota th woh meerut Chali gayi thi. Usne boss ne usko uska sara kaam uske dusre colleagues ko handover karne ke liye bol diya tha. Nisha ne apne parents ko bi nahi bataya tha. Usko samjh nahi aa rah tha ki apni family se kya bole? Waise bua ji ne kuch nahi bola tha islye bi Nisha guilty feel kar rahi thi. Usne socha yaha se jana hi thik rahega.

Jab kavita aur Raman ne force kiya toh woh jane ko ready ho gayi. Bhabhi ne usse pucha tha ki woh kisi program ya games mei participate lena chahti hai usne direct mana kar diya tha. Nisha us din ke bad se Vedika ke ghar nahi gayi. Woh nahi chati ki ved se woh mile. Waise ved ne usko kai message kiye ki woh bas ek baar usse milna chahta aur sari misunderstanding clear karna chata hai par  usne koi reply nahi kiya. Kyuki woh nahi janti thi ki kya bole.

Kavita ne uski dress ready ki thi. Woh interested nahi thi isliye usne jayada dhyan nahi diya. Uski dress grey colour ka lehga tha with light embroidery and net chunari. Waise Nisha interested nahi thi lekin dress dekhar woh apne ko nahi rok payi. She liked it so much. Lekin woh ek baat nahi janti thi ki usko surprise milne wala hai.

Function evening mei tha lekin preparation morning se hi ho rahi thi. Sabhi society wale apni taraf se help kar rahe the.

Udhar Ritika ka bi mood acha nahi tha. Woh Nisha ko bachpan se janti thi. Phele Nisha bahut conservative thi kafi kaam logo se gulti milti thi jisme se ritika ek thi. Bachpan mei woh apni bua ke yaha aksar ati thi aur ritika se woh mili thi. Jabki ritika active thi. Sab ritika ko pasand karte the. Aisa nahi tha ki Nisha ko koi pasand nahi karta tha par ritika ke samane Nisha ki koi importance nahi thi lekin Nisha ne kabhi mind nahi kiya aur Ritika bi arrogant nahi thi. Par dheere dheere jaise jaise woh badi hui Nisha ka nature change ho gayi. Yaha tak ki uske ghar wale bi nahi jante the ki yeh improvement kaise hua? Par woh proud feel karte the ki nisha ab hosiyar ho gayi jabki improvement ki wajah Nisha ke alwa koi nahi janta tha. Usne kisi ko bataya bi nahi aur kisi ne jayada dhyan bhi nahi diya.

Ritika janti thi Nisha kabhi usko dhoka nahi degi woh bi ek ladke ke liye never. Par joh usne apni ankho se dekha us din woh kaise bhool sakti thi. Ved joh ki kisi se thik se baat nahi karta kewal apni family aur relatives ke alwa. Aur ladikyo se hamesha distance maintain karke rakhta hai woh Nisha ko kiss kar raha tha. Even jab Nisha ne usko push kiya toh uski ankho mei hurt ke expression the. Nisha ne nahi dekhe par ritika ne clear dekhe. Aisa nahi thi ki Ritika ka koi abhi boyfriend nahi tha. Uska teen baar breakup ho chuka tha. Woh boys ki mentality ache se janti thi. Par ved sabse alag tha. Jab pheli bar usne ved ko dekha toh usko pheli baar laga ki real mei aise ladke bi hote hai. Ved kewal handsome hi nahi apne career mei bi success tha. Woh ek perfect guy ki definition mei bilkul fit tha. Ritika bi kisi mamle mei kam nahi thi. Woh bas open minded thi yeh singhal family ko pasand nahi thi. Lekin ritika janti thi agar ved usko pasand karega toh singhal family koi objection nahi karegi akhir uski varma family bi society ki number second family mei thi aur ved ke liye woh perfect thi. Ritika ko laga ki agar woh ved ko chase karegi toh ek din ved usko like karne lega kyuki koi ladki uske karib nahi thi. Ritika ne socha ko ki agar Vedika uski help karegi toh ved jarur usko notice karega. Usne sapne mei bi nahi socha tha ki woh kabhi Nisha ko like karega. Usne khud ved ke face par irritation dekhi thi Nisha ke liye. Fir achanak se woh Nisha ko kaise like karne laga. Usko nahi pata tha ki Nisha aur Ved ek dusre se mobile ke through contact mei hai.

Ritika bi function mei jana nahi chahti thi lekin Varma aunty ne usko force kiya, "Ritika, humne tujshe kabhi kisi cheez ke liye roka toka nahi. Aur hume tujsh par proud hai. Pata nahi us din kya hua kya nahi. Na toh Nisha ne kuch kisi ko bataya aur na hi ved ne yaha tak ki tune bi kuch nahi bola. Hum bado ne milkar decide kiya hai yeh tum logo ki life hai aur ab tum logo bade ho gaye isliye hume interfere nahi karna chahiye. Par iska matlab yeh nahi hai hum ek taraf chup chap baith kar sab dekhte rahe. Society mei tum tino ko lekar tarah tarah ki baat ho rahi hai. Agar tu is function mei nahi jayegi toh un logo ko aur baat karne ka mauka milega. Isliye yeh function mei jana tere liye jaruri hai. Tu samjh rahi hai na mai kya kehna chah rahi hu?"

Kuch sochne ke baad Ritika ne haa kar di, "thik hai mom mai yeh function attend karugi."

Akhir uski bi kuch clear karna tha. Is baat ko three weeks se jayada hi gaye the aur uska mind bi clear ho gaya tha.

Function ka arrangement Singhal house ke terrace par kiya tha. Singhal house is society mai sabse bada aur luxurious house tha. Function ke arrangement se pata chal raha tha ki is baar Singhal family ne koi kasar nahi chori thi. Sabko main wajah nahi malum thi lekin sab apni apni taraf se guess kar rahe the. 

Function mei Sabhi bade aa chuke the aur ghapshap chalu thi. Jabki youngster apne aap ko ready karne mei busy thi. Sab ek dusre ko yeh dikhna chate the hum kisi se kam nahi.

Dheere dheere youngster ne bi ana chalu kar diya. Ritika bi varma family ke sath pauch gayi. Sabse milne ke baad woh ek kone mei jakar baith gayi.

Udhar kavita Nisha ko jaldi chalne ke keh rahi thi, "di, jaldi chalo na. Sab pauch gaye hoge." Nisha jan bhukar time le rahi thi. Shayad woh apne aap ko prepared kar rahi thi.

Nisha muh bante hue boli, "tujshe jaldi hai tu ja. Mai baad me aa jaugi."

Kavita ko dar tha ki agar woh chali gayi toh Nisha function mei nahi aayegi aur unka plan waste ho jayega. Uski puri family ved ko pasand karti thi. Aur ved aur ved ki family bi Nisha ko pasand karti thi. Sabki nazro mei ved aur Nisha ek dusre ke liye best the. Par Nisha hi manane ko ready nahi thi. Sab uski wajah bi jante the lekin koi kuch bol nahi raha tha. Sab jante the ki ritika aur Nisha bachpan ke friends hai aur ritika ved ko pasand karti hai.

Sab Nisha ki personality ache se jante the isliye sabko doubt tha ki Nisha nahi manegi. Lekin ved ko apne aap par pura confident tha ki woh Nisha ka mana lega. Sab sure toh nahi the lekin ved ke kehne par woh ready ho gye kyuki sabne second plan bi soch rakha tha agar ved sucess nahi hua toh?

डाउनलोड

क्या आपको यह कहानी पसंद है? ऐप डाउनलोड करें और अपनी पढ़ाई का इतिहास रखें।
डाउनलोड

बोनस

ऐप डाउनलोड करने वाले नए उपयोगकर्ताओं को 10 अध्याय मुफ्त में पढ़ने का अवसर मिलता है

प्राप्त करें
NovelToon
एक विभिन्न दुनिया में कदम रखो!
App Store और Google Play पर MangaToon APP डाउनलोड करें