chapter 19

Ved point of view

Mai evening walk ke liye ghar se nikala toh Nisha ko park mei akela dekha. Woh jayadatar apni friend ya kavita ke sath hoti hai. Par mere liye yeh acha chance tha uske sath time spend karne ka. Isliye mai jaldi uske pass pauch gaya. Jab uske pass gaya toh dekha ki woh udas hai. Mai uske pass baith gaya par woh apne khayalo mei hi ghum thi. Maine uske shoulder par hath rakha aur dhere se bola, "Nisha, kya hua?"

Par usne naa mei sar hila diya aur dusri taraf dekhne lagi. Mai usko aise nahi dekh sakta tha islye maine uske dono shoulders par hath rakha aur uski apni taraf ghumaya aur dekha toh uski ankho mei ankho the. Usko aise dekh kar mai bi dukhi mehsus kar raha tha. Mujhe pata tha woh mere ko kuch nahi batayegi isliye maine usko hug kiya. Usne bi mere ko hug kiya aur rone lagi. Hum kuch der tak aise hi baithe rahe. I don't care ki koi humko dekh lega ya nahi.

Jab woh chup hue toh ansu pochte hue mujshe thanks kehne lagi. Maine uske ansu dheere se poche aur dubara pucha kya hua.

Jab usne bataya ki woh apni family ko miss kar rahi hai. Maine thoda relaxed mehsus kiya. Usne sach mei mujshko dara diya tha. Jab maine usko bola toh woh gusse se boli, ""tumhare liye bas itni si baat hai kyuki tum apni family ke sath rehte ho par mere liye nahi."

Woh sahi thi isliye mai muskurate hue bola, "don't worry. Is weekend mai tumko meerut lekar chaluga."

She pouted, "but meri ko kewal ek leave milegi. Pura time toh jane ane mei nikal jayega." Usko nahi pata ki woh aise kitni cute lag rahi thi.

Mai haste hue bola, "Trust me. Mai tumko kaam time mei paucha duga."

Usne meri shirt ki taraf dekha aur daag hatte hue boli, "maine tumhari shirt kharab kar di."

Mai haste hue bola, "tum is shirt jayda valuable ho." Aur kuch bi cheez tumse jayda valuable nahi hai.

Usne meri ankho mei dekha. Aur maine uski ankho mei. Kuch der baad, mai thoda jhuka aur maine apne lips uske lips par rakh diye. Maine kai baar usko kiss karne ki sochi par har baar dara hua tha. Par mai ab jayada apne aap par control nahi kar sakta tha. Phele toh usne koi response nahi diya par thodi der baad woh bi mujshe kiss karne lagi. Mai man hi man khush tha ki kam se kam woh bi mujshe pasand karti hai. Koi nahi woh mere bare mei bhool gayi par ab toh mai uske liye khas hu.

Thodi der baad maine kisi ki gusse se bhari awaz suni, "Nisha" woh lagbhag chila rahi thi, "Nisha"

Maine dhyan nahi diya par Nisha...

Usne mere  ko Dhaka diya aur mai usko dekhne laga ki achanak kya hua? Mujshe pata tha ki woh Nisha ki friend hai. Par mujshe koi fark nahi padta. Only Nisha hi meri liye important hai.  Mai Nisha ka reaction dekh raha tha. Jaise hi woh uthi maine uska hath pakad liya, "Nisha"

Usne mere taraf dekha. Uski ankho mei guilty thi, "Ved, I am sorry. Mujshe aisa nahi karna chahiye tha."

Mai gheri sas lete hue bola, "Nisha, tum sorry kyu bol rahi ho?"

Usne apna sar apne hatho mei le liya, "ved, mujshe nahi pata kya kehna chahiye kya nahi. But please stay away from me."

Woh aisa kyu bol rahi thi. Kya woh mere liye kuch mehsus nahi karti. Maine urgently bola, "Nisha, listen to me."

Usne mere ko ghura, "no, I don't want to talk you ever. Don't you understand?"

Woh uthi aur bhagte hue chali gayi. Mai wahi bench par baitha raha. Kya woh mere ko pasand nahi karti? Bahut sare sawal mere man mei the aur mai usse sab clear karna chahta tha.

Maine morning mei usko messages bheje par usne reply nahi kiya. Mujshe laga ki woh gussa hai. Usko time chahiye islye bas maine usko messages bheje. Mujhe samjh nahi aa raha tha ki kya karu? Mai usse milkar sab clear karna chata tha akhir woh mere bare mei kya sochti hai? Par woh mere ko avoid kar rahi thi. Usne kisi bi message ka jawab nahi diya.

Maine kai baar usse milne ki koshish ki par sab bekar. Time bitne ke sath sath mai bi hope khota ja raha tha. Na mera kaam mei man lag raha tha, na mere ko bhook lag rahi thi aur na hi raat ko so pa raha tha. Mujshe samjh nahi aa raha tha ki kya karu....kya nahi...

Maine apne room mei laptop khol kar baitha tha. Mujshe urgent work karna tha par mera kaam mei dimag nahi lag raha tha. Mai bas Nisha ke bare mei hi soch raha tha. Tabhi maine darwaze par knock ki awaz suni.

Mai straight baith gaya aur laptop mei dekhne laga. Tabhi bhaiya ander aye aur bole, "Ved, baat karni hai tujshe?"

Maine unki taraf dekha aur bola, "haa bhaiya bolo"

Woh mere pass chair lekar baith gaye aur mere ko dekhte hue bole, "Ved, yeh tune apna kya haal bana rakha hai? Sab pareshan hai tere liye."

Mai muh banate hue bola, "bhaiya, mai thik hu. Sabko bol do ki pareshan hone ki jarurt nahi hai."

Bhaiya gusse se bole, "really ved... Na toh tu thik se kha raha hai.... Aur tere face par yeh dark circles... Iska kya matlab hai?"

Mai kuch nahi bola. Kuch der baad bhiya fir bole, "ved, tu janta hai mahole mei sab tere aur Nisha ke bare mei kaisi kaisi baat kar rahe hai. Tujshe apni chinta nahi hai toh kam se kam uske bare mei soch."

Maine frustration se ankhe band kar li aur bola, "bhaiya, I messed up everything. I don't know what to do or not. Aur Nisha bi mere se baat nahi kar rahi."

Bhaiya ne seriously hokar pucha, "ved, are you serious for her?"

Maine bhaiya ki taraf ghur kar dekha, "Bhaiya apko kya lagta hai? Agar mai uske liye serious nahi hota kya mai usko kiss karta?"

Bhaiya chouk kar bole, "kya... Tune usko kiss ki."

Tab mujshe hosh aya ki maine kya bol diya. Par mai ab kuch nahi kar sakta tha isliye bola, "hmm... But uski friend ne dekh liya. Sab thik tha hamare beech agar uski woh friend..."

Bhaiya bole, "Ritika na? Joh tujshko pasand karti hai."

Mai muh banate hue bole, "Please bhaiya... I never like her... Even maine kabhi usse baat bi nahi ki. Bas mere dil mei Nisha hai... Aur kewal ussi ke bare mei sochta hu... Ab isme mere kya galati?"

Bhaiya muskurate hue bole, "ohhh... Ab samjh mei aya. Kya tune Nisha ko bataya ki tu usko pasand karta hai?"

Maine irritation ke sath kaha, "mai usko batana chahta hu par woh meri koi baat sunane ko ready nahi hai."

Bhaiya bole, "agar tu serious hai th mai mom aur dad se baat karta hu tum dono ki marriage ke liye. Waise bi ghar mei sabhi pasand karte hai usko."

Mai muskurate hue bola, "bhaiya... Mai us se hi shadi karuga par phele mai sari misunderstanding dur karna chata hu. Mai usko pressurized nahi karna chahta. Mai chahta hu ki woh apni marzi se mujshe shadi kare. Aur kya pata woh aur gussa ho jaye agar usse parents ko pressurized kare."

Bhaiya kuch sochne ke baad bole, "haa... Yeh bi hai. Don't worry. Mai teri bhabhi se baat karta hu. Woh koi na koi idea nikal legi. Par sab tere haath mei hai uski kaise convince karna hai."

Mai haste hue bola, "bhaiya woh aap mujshe par chor do. Is baar mai usko mujshe mana karne ka koi mauka nahi duga."

Bhaiya confusion mei bole, "is bar... matlab?"

Maine na mei sar hilaya, "kuch nahi... Mai 100% sure hu."

Bhaiya patted on my shoulders, "ok... Chal ab sath mei dinner karte hai. Dinner ke baad sab milkar plan bante hai."

Mera mood acha ho gaya. Is baar meri family bi meri sath hai. Usko mana karne ka koi mauka nahi duga.

Jab hum hall mei aye toh sab humara wait kar rahe the.

Mom ne pucha, "ab sab sahi hai?"

Bhaiya muskurate hue bole, "yeh shadi ke liye ready hai ab kewal Nisha naraz hai isse. Usko manana hai."

Mom khush hote boli, "koi nahi..  mai uski bua aur parents se baat karugi."

Mai bola, "mom... Please... Phele mai usko ready karna chahta hu. Kya pata woh mujshe aur jyada naraz ho Jaye."

Mom ne muh banate hue bola, "th fir humko kya karna chahiye?"

Bhaiya bole, "phele dinner karte hai fir discuss karege."

Hum sabne saath mei dinner kiya uske baad bhabhi ne montu ko sula diya. Dad apne room mei chale gaye aur humne mom Ko bi bhej diya. Mai mom se bola, "mom, phele humko try karne do agar hum fail ho gaye toh apki baat sunege." Mom toh jald se jald hamri shadi karwana chahti hu. Mai bi yahi chahata tha par agar Nisha ne mana kar diya toh mai kya karuga? Mom baat samjh gayi aur chali gayi

Fir hum (bhabhi, bhaiya, Vedika aur mai) discuss karne bauth gaye.

Vedika khush hote hue boli, "mujshe pata tha ki kuch na kuch tum dono ke beech chal raha hai."

Mai usko fakely Dante hue bola, "tu chup kar." Fir mujhe kuch yaad aya aur maine Vedika se bemane man se pucha, "Vedika, woh kisi ko pasand karti thi ya karti hai?" Jab maine yeh pucha tab mujshe hi pata hai ki mere man par kya guzar rahi thi.

Vedika mujshe chidte hue boli, "apka matlab... Uske ex boyfriend or..."

Maine gusse se pucha, "jitna pucha hai utna hi jawab de."

Woh muh bante hue boli, "bhaiya mai toh majak kar rahi thi.. ap th serious ho gaye."

Bhabhi usko samajhte hue boli, "abhi yeh waise hi pareshan hai. Koi nahi.... Baad mai isko chidane ke kai mauke milege."

Vedika aur bhabhi hasne lage par maine ignore kar diya. Kuch der baad, woh serious hokar boli, "Jaha tak mujshe pata hai... Nisha di kisi ko pasand nahi karti... Kavita ne mujshe bataya ki unke college mei ek ladka unko pasand karta tha par unhone kabhi dhyan nahi diya..."

Bhaiya bole, "ab yeh socho kaise usko ved se baat karne ke liye razi karna hai."

Bhabhi boli, "is bar society ka annual function humko arrange karna hai. Usne hum kuch kar sakte hai."

Mai bola, "yeah, it's great idea. Bhabhi you are best."

Bhabhi hasi aur thanks bola. Humne pura plan bana liya ki kab aur kaise usko mere se baat karne ke ready karna hai.

Mai us din ka besabri se intzar kar raha tha. 

डाउनलोड

क्या आपको यह कहानी पसंद है? ऐप डाउनलोड करें और अपनी पढ़ाई का इतिहास रखें।
डाउनलोड

बोनस

ऐप डाउनलोड करने वाले नए उपयोगकर्ताओं को 10 अध्याय मुफ्त में पढ़ने का अवसर मिलता है

प्राप्त करें
NovelToon
एक विभिन्न दुनिया में कदम रखो!
App Store और Google Play पर MangaToon APP डाउनलोड करें