It's Saturday. Aur exhibition ko kewal one week bacha tha aur mere pass koi idea nahi tha ki kya paint karu? Kavita and Raman apne apne friends ke yaha gaye the aur mai hall mei sofa par leti hui soch rahi thi. Kafi der sochne k bad kuch idea nahi aya lekin bhabhi ki awaz jarur ayi, "Nisha.... Ghar par ho kya?" Mai uth kar sidhi baith gayi th montu aur babhi dono andher aa gaye. Mai muskurate hue khadi hui, "haa.... bhabhi bolo."Bhabhi mere ko dekh kar khush hote hue boli, "actually, nisha ek help chahiye thi." Itne mei bua ji bi kitchen se bahar aa gayi.Mai kaha, "haa bhabhi bolo na."Wh sharmate hue boli, "Actually, tumhare bhaiya aur mai bahar ja rahe hai.... Aur ghar par koi nahi hai..... Montu bi kewal tumhare sath hi rahega... Kya tum kuch der ke liye isko rakh logi.... Ved 2 ghante mei as jayega wh le jayenge isko." Bua ji haste hue boli, "haa... Haa... Kyu nahi? Yeh bi koi puchni ki bat hai.... Koi nahi aap aram se jao beta ...."Mai bi haste hue boli, " Kyu montu.... Mere pass rehne me koi dikkat th nahi hai." Montu haste hue bola, "bilkul nahi.... Mummy aap jao." Bhabhi haste hue, "thank nisha and bye montu beta... Chacha jaldi aa jayege.... Tab tak nisha ko tang nahi karna.." Usne haa mei neck hila di aur bhabhi chali gayi. Maine montu se pucha, "kyu? Kya karna pasand hai tumko?" Wh excited hote hue bola, "aap khelogi mere sath?" Maine kaha, "thik hai lekin kya?" Usne apna bag kholkar blocks dekhate hue, "yeh" Maine bua ji bola, "bua ji, hum chat par ja rahe hai." Montu aur mai chat par Attari ke ander khelne lage. Tabhi mujshe Ritika ki yaad ayi. Maine montu se kaha, "montu... Tum khelo... Mai abhi ayi." Usne haa mei sar hila diya aur mai neeche kamare se mobile utha kar Ritika ko call ki. Usne kafi der bad phone uthaya. Mai chidte hue boli, "kaha hai?" Wh tensed hote hue boli, "yaar.. aj client ke sath meeting hai th office mei hu." Maine pucha, "par aj th leave hai teri." Wh boli, "haa yaar... Par kal client ke pass time nahi hai... Tu th janti hi hai... Kabhi kabhi jana padta hai office." Maine usko bataya, "Bhabhi montu ko mere pass chorkar gayi hai.... Ved 2 hours me aa jayega usko lene.. tere pass point gain karne ka time hai. kya pata montu ke bahane tujshe usse baat karne ka bi mauka mil jaye?" Woh kuch sochte hue boli, "ok... Mai try karti hai... Wese jaise bi hoga text kar dugi." Mai muskurate hue boli, "ok bye." Mai upar montu ke sath jakar khelne lagi par mera dimag th painting ki tension mei tha.Montu ne pucha, "nisha?" Maine uski taraf dekhkar muskurayi, "haa" Kuch der bad bola, "kya baat... Tum udas lag rahi ho?" Maine kuch der tak usko dekha fir boli, "nahi... Aisa th nahi hai."Woh gussa hote hue boli, "jhooth mat bolo mai sab janta hu.. jab meri mummy udas hoti hai th woh bi aisa hi karti hai jaise tum kar rahi ho." Maine uske hath ki taraf dekha th mai galat blocks set kar rahi thi. Mai chup ho gayi aur kuch nahi boli. Ab chote bache ko kya batau ya kaise samjhau?Jab mai kuch nahi boli th woh bola, "acha, ek game khelte hai.." Maine chok kar pucha, "kya?" Woh excited hote hue bola, "mai tumhe ek apna secret batauga... Tum mujshe apna."Maine haa kar di aur boli, "phele tumhari bari." Woh bola, "thik hai... Janti hu mujshe aur sab se baat karna kyu pasand nahi hai" Mai sawal kiya, "kyu?" "Kyuki joh bi ladki hamare ghar ati hai woh chacha ko hi dekhti rehti hai.... Jabki chacha unko pasand nahi karte... Par tum alag ho... Tumne kabhi chacha ko nahi dekha isliye tum mujshe achi lagti ho." Mai haste hue boli, "achiya ji." Ab usko kya bolti kyuki woh chota hai woh yeh sab bate abhi kaha samjhayega?Woh haste hue bola, "ab tumhari bari."Mai ghari sas lete hue boli, "actually, mere boss chahte hai ki mai painting banau exhibition ke liye aur mere pass koi idea nahi hai.... Samajh nahi aa raha kya karu?" Woh kuch der sochne ke baad bola, "bua ki painting apne banayi thi na." Maine muskurate hue boli, "hamara montu th bahut samjhdar hai. Yeh hamara secret hai kisi ko mat batana."Wh sar hilte hue bola, "ok..pinky promise." Mai haste hue boli, "pinky promise." Woh bola, "th aap meri painting bana sakti hu." "Nahi montu tumhari painting tumhare liye banaugi exhibition ke liye... Kuch aur creative idea chahiye..."mai usko samjhate hue boli. Woh bi cheek par hath rakh kar sochne laga. Usko aisa karte dekh kar bahut hasi aa rahi thi. Aj kal ke bache bi na.Tabhi ek idea dimag mei aya aur khushi se chillayi, "montu thank you... Mil gaya idea."Woh haste hue bola, "kya?" Mai boli, "tum akele khel loge na. Mujshe tumhari khelte hue ki painting banani hai." Woh muskurate hue bola, "ok nisha." Woh khelne laga aur maine painting ke sara saman set kar liya. Mai usko dekh kar paint kar rahi thi. Actually, mai apni painting mei show karna chahti thi ki bache itne Masum hote hai ki woh toys se hi khush ho jate hai woh sari tension, sari duniyadari se pare kewal apne aap aur apne toys mei hi khush rehte hai. Yehi choti choti khushiya unke liye sab kuch hoti hai aur woh duniya ke sabse lucky person hote hai jinke pass sari khushiyan hoti hai. Mai montu ka face nahi show kar sakti thi lekin montu ke face ki khushi th show kar sakti thi.
Mai painting mei busy thi aur udhar montu apne toys mei. Hume time ka pata hi nahi chala tabhi door par kisi ke khat khatne ki awaz ayi. Kavita aur Raman hote th woh bina khat khatye hi aa jate. Montu ko chup reh kar khelne ka bola. Maine painting ka saman chupaya. Aur hath pochte hue door pura khol kar dekha th ved khada tha. Maine serious wale face se pucha, "haa?" Woh kuch der tak mere ko dekhta raha fir bola, "montu hai kya ander? Usko lene aya hu." Tabhi mujshe apni galati ka ahsas hua, "actually, sorry..." Fir awaz lagayi, "montu tumhare chacha aye hai."Maine ved ko ander ane ka kaha aur hum ander aa gaye. Fir montu ki help uske toys bag mei rakhne ko ki. Montu bola, "chachu, mere ko park mei jana hai." Ved haste hue usko upar uthate hue bola, "ok beta. Chalte hai."Maine ved ko pheli bar haste hue dekha tha, "tumko hasna bi ata hai kya?" Montu meri bat par has pada jabki ved ne muh bana liya. Mai montu se boli, "bye montu."Montu bola, "Nisha tum bi chalo na... Hum park mei sath mei khelenge." Mai muskurate hue boli, "nahi montu...baad mei." Par woh bola, "nisha, plz chalo na." Maine ved ki taraf dekha th usne haa kar di. Mai montu se boli, "thik hai... Tum hall mei wait karo... Abhi 5 minutes mei ati hu." Mai apne room mei aakar jeans and top pehena, face wash kiya, hairs comb kiye aur slippers peheni. Jeans mei mobile aur kuch rupees rakhe. Mai hall mei aakar boli, "let's go." Ved bi kapde change karke as gaya tha.Montu ved ke pass se mere pass akar mera hath pakad liya.
Hum ved ki car mei baithe aur 15 minutes mei park pauch gaye. Montu ball laya tha islye montu aur mai ball se khel rahe the jabki ved bench par baitha sab bacho ko dekh raha tha. Uske chehre par ek muskurahat thi. Tabhi mere ko idea aya aur maine chupke se uski ek photo click kar liusne jaise hi mere taraf dekha mai apne mobile mei dekhne lagi jisse usko doubt na ho. Fir mobile jeans ki pocket mei rakh liya. Montu usko bi pakad kar le aya for hum teeno ne ball se khela. Ved aur mai dhyan rakh rahe the sabse jayada montu hi khele. Jab mai thak gayi th boli, "time please.... Ab mai thak gayi." Th Ved bola, "montu thoda rest karte hai ab" Tab montu bola, "chachu icecream khani hai." Mai bi khushi se boli, "wow.. . Icecream." Ved meri taraf dekhne laga th mai muh banate hue boli, "kyu tumko icecream pasand nahi hai kya?" Par usse pehle ved kuch bolta montu uska hath pakad kar khichne laga. Isliye usne kuch nahi bola. Hum teeno ne apne apne flavour ki icecream choose kari. Montu ne chocolate, ved ne vanilla aur maine strawberry. Hum tino ek bench par baith gaye aur icecream enjoy karte karte bacho ko khelte hue dekhne lage.
Icecream finish hone ke bad ved bola, "montu, ab ghar chalte hai." Aur woh man gaya.Aur hum ghar ki taraf chal diye. Montu car mei hi so gaya. Mai usko dekhkar boli, "shayad bahut thak gaya hai islye so gaya."Par ved samane ki taraf dekhkar hi car chala raha tha. Usne apne ghar ke parking area mei car park ki. Woh sote hue montu ko hi utha kar bhaiya bhabhi ke room mei le gaya. Mai uska bag lekar piche piche ayi aur side table par bag rakh diya. Usne montu ko aram se litaya aur blanket udha diya.
Uske baad ved aur mai hall mei aa gaya. Mujshe samjah nahi aaraha tha ki usse kya bolu? Islye thoda nervous thi par haste hue boli, "ab mai chalti hu. Montu toh so raha hai. Bye"Jaise hi door ki taraf badi usne awaz lagayi, "nisha?" Mai mudhkar usko dekha aur boli, "haa." Woh thoda nervous lag raha tha par bola, "tum meerut mei rehti ho na." Maine haa mei sar hilaya th woh bola, "kisi ka address malum karna tha." Mai haste hue boli aur ankhe matkate hue boli, "koi ladki hai kya?" Usne meri taraf dekha fir dusri taraf dekhkar bola, "nahi dost hai mera. Kafi time se touch mei nahi hai isliye." Mai muskurate hue boli, "kya naam hai uska?" Wh sochte hue bola, "Sandeep sharda nagar block f mei rehta hai."Mai khush hote hue boli, "mai bi sharda nagar mei rehti hu par mera block E hai... Koi nahi Maya ki friend rehti hai block F mei... Woh apni friend se puch kar bata degi." Woh meri taraf lagbhag ghur raha tha. Maine pucha, "kya hua ved?" Woh jhepte hue bola sar na mei hilte hue bola, "kuch nahi...... Maya kaun?" Mai muskurate hue boli, "meri choti behen.... Mai usko bol dugi woh pata karke bata degi.... Agar tumhare dost ne ghar shift nahi kiya hoga th mai details tumko message kar dugi." Usne haa mei sar hila diya th mai boli, "achiya... Chalti hu ab bye." Wh bola, "mera mobile number..... matlab uski details send karne ko." Mai haste hue boli, "jab mil jayegi details th Vedika se le Lugi tumhara number....thoda jaldi mei hu abhi. Bye" Usne haa mei sar hila diya, "bye" aur mai apne ghar aa gayi. Actually, mujshe apni dusri painting ke liye joh idea mil gaya tha. Mujshe nahi pata tha ki dono chacha bhatije mere itne kaam ayege. Par ek problem abhi bi thi ki exhibition ka sponsor ved hai agar usko pata chal gaya ki yeh dono painting maine banayi hai th Vedika ki painting ka bi pata chal jayega. Ab apne boss ko samjhana tha ki woh kisi ko na bataye ki woh meri painting hai.
Phele th mere boss mane nahi lekin jab maine unko suggestions kiya, "Sir, apne mujshko inspired kiya warna mai th mana hi kar rahi thi islye mai chahti hu ki yeh painting hamare department ki taraf se exhibition mei jani chahiye... Mere naam se nahi. Actually, sir, yeh mera talent hai mai isko kisi ko sell nahi karna chahti. Maine kabhi bi profession ki tarah isko nahi dekha kewal passion ki tarah dekha hai." Woh haste hue bole, "ok.... Thik hai jaisa tum kaho."
***बेहतर पढ़ाई का आनंद लेने के लिए नॉवेलटून को डाउनलोड करें!***
22 एपिसोड्स को अपडेट किया गया
Comments