after 1 month Baarish aur Anjaan Safar ke baad, Vijay ka dil Aishwarya ke khayalon mein atka hua tha. Us raat woh ek pub mein apne dost Naresh ke saath baitha tha, lekin uska dhyan kahi aur hi tha.
Pub Mein Vijay: Aishwarya Ka Junoon
Pub mein kaafi shor tha, lekin Vijay ko bas Aishwarya ki awaaz, uski muskurahat, aur uski aankhon ki chamak hi sunai de rahi thi. Usne ek wine ka glass uthaya aur Naresh se kaha, "Aaj peene de, dost. Dil mein jo halchal machi hai, use shant karne ka aur koi tareeka nahi hai."
Naresh ne use roka, "Yaar, tu toh bilkul badal gaya hai. Jab se us ladki se mila hai, tab se tu uske baare mein hi soch raha hai. Yeh pub, yeh shor... is sab mein tujhe sukoon kaise milega?"
Vijay ne ek hi saans mein poora glass khatam kar diya aur bola, "Sahi kaha, Naresh. Yahaan sukoon nahi hai, sirf uski yaadein hain. Yeh pub, yeh log, yeh shor... sab uski yaad dila rahe hain."
Vijay khada hua, aur usne ek shayari gungunani shuru ki, uski awaaz mein ek nasha tha, ek dard tha.
"Jab dil mein koi junoon hota hai,
Toh raat ka andhera bhi roshan hota hai.
Kya baat hai uski, jisne dil ko chhua hai,
Yeh mohabbat hai ya sirf ek dhokha hai?"
Pub mein maujood log uski shayari sunkar uski taraf dekhne lage. Ek aadmi ne sawal kiya, "Kya hua, dost? Kiski yaad mein dooba hai tu?"
Vijay ne muskurate hue jawab diya, "Ek anjaan ladki ki yaad mein. Ek baarish ki raat, ek bike, aur ek khamosh safar. Bas itna hi toh hai hamari kahani."
Dusre ne poochha, "Aur kya hua uske baad?"
Vijay ne kaha, "Uske baad... uske baad bas yeh dil uske peeche bhag raha hai, aur yeh aankhein uski ek jhalak ke liye taras rahi hain."
Ek Gana, Ek Pal
Jaise hi Vijay ne yeh kaha, pub ki saari lights off ho gayi, aur ek spotlight seedha Vijay par padi. Ek halka sa music shuru hua.
🎵🎵🎵
[Music: 'Tum Jo Aaye Zindagi Mein' - Raahat Fateh Ali Khan]
Vijay (gata hua):
"Tum jo aaye zindagi mein baat ban gayi,
Ishq ki kahaniyo mein raat ban gayi.
Kya batau main tumhein kya hai mera haal,
Har pal, har ghadi, har lamha, bas tumhara khayal."
Jaise hi gaana shuru hua, Vijay ki aankhon ke saamne Aishwarya ka chehra ghoomne laga. Usne mehsoos kiya ki yeh gana sirf uske liye tha, sirf uske aur Aishwarya ke beech ki kahani ke liye tha.
Us gana khatam hone ke baad, pub mein ek gehra sannata chha gaya. Sab log Vijay ki taraf dekh rahe the, jaise woh koi filmi hero ho. Vijay ne aahista se mic wapas rakha aur apni kursi par baith gaya, uski aankhon mein ek ajeeb si chamak thi, jismein mohabbat, junoon aur ek anjaan intezaar saaf jhalak raha tha. Naresh ne uske kandhe par haath rakha.
"Dost, tu sach mein usse itna pyar karta hai?" Naresh ne dheemi awaaz mein poocha.
"Pyar? Shayad isse bhi gehra hai," Vijay ne thandi saans lete hue kaha. "Jab tak usse mila nahi tha, tab tak zindagi mein ek kami thi. Ab jab mil gaya hoon, toh lagta hai jaise har saans uske naam ki hai."
Vijay ne uthkar bill pay kiya aur pub se bahar nikal gaya. Raat ab thodi shant ho gayi thi, aur baarish ke baad ki hawa mein ek nayi taazgi thi. Usne apni bike start ki aur usi bus stop ki taraf chal diya, jahan uski aur Aishwarya ki anjaan mulaqat hui thi.
***Download NovelToon to enjoy a better reading experience!***
Comments