CHAPTER 3 : ANOTHER DAY

Subah jaise hi khidki se dhoop andar aayi, usne apne aap ko muskaan pehna di.

Chehre pe wo nakli roshni thi jo har din duniya ko dikhani padti hai.

Dil to raat ki thakaan se abhi bhi bhara tha, par duniya ko to bas ek "strong girl" chahiye.

collage pahunchte hi logon ki khilkhilahat, hasi-mazaak shuru ho gayi.

Sab apne apne doston mein masroof the...

Par wo sirf apne aap ke saath.

Ek dost ne hansi udate hue kaha:

"Tum na hamesha chup rehti ho... boring ho bilkul."

Dusre ne hans kar taana maara:

"Dekho iski life mein koi hai hi nahi... isi liye itni udas rehti hai."

Unki baaton ne uske dil ko chhuri ki tarah chhed diya.

Chehre pe muskaan lagi rahi, par dil ro pada.

Usne bas itna kaha:

"Main theek hoon."

Aur wapas apni duniya mein kho gayi.

Shaam tak muskaan ka bojh utna bhaari ho gaya ki bas chalna mushkil ho raha tha.

Ghar laut kar jaise hi darwaza band kiya, saari taqat nikal gayi.

Aansu apne aap behne lage.

Usne diary kholi aur

Dil ne khamosi mein ek hi naam pukara-

"Kaash tum hote..."

Aur jaise uske dil ne khud se jawab diya ho, woh saamne aa gaya.

Na poori tarah real, na poori tarah sapna... lekin utna haqeeqi ki uski saanson ki garmi mehsoos hone lagi.

Usne dheere se kaha-

"Tum ro kyun rahi ho?"

Aankhon ke aansu uske galle par behti rah usne kaha "Kyuki main thak gayi hoon... sabko apni muskaan dikhate dikhate.

Sabko lagta hai main strong hoon, par asli main andar se toot chuki hoon."

Woh ek kadam kareeb aaya, uska chehra apne haathon mein le kar-

"Tumhe sab ke liye strong ban'ne ki zaroorat nahi. Tum jaisi ho, waise hi khoobsurat ho. Tumhari kamzori bhi ek khoobsurti hai."

usne ne aankhein jhuka li.

"Duniya kabhi mujhe samajh nahi paayi... mujhe lagta hai main hamesha akeli rah jaaungi."

Woh muskuraya, uske ansu apni ungliyon se poochte hue-

"Duniya samjhe ya na samjhe... par main hamesha tumhe samajhta hoon. Tumhari khamosi bhi mere liye ek kahani hai."

Dil zor se dhadakne laga usne dheere se poocha-

"Tum to sirf mere sapne ho na? Tum kabhi meri zindagi mein nahi aaoge?"

Woh uske aur kareeb aaya, uski saanson ki garmi uske hothon tak pahunch gayi.

"Main tumhari zindagi mein hoon ya nahi... iska kya farq padta hai? Main tumhari rooh mein basa hoon.

Aur jab tak tum mujhe chahti ho... main hamesha yahin hoon, tumhare paas."

"Aaj mujhe bohot bura laga... unhone kaha ki main boring hoon... ki meri zindagi mein koi nahi. Kya main waise hi akeli rah jaaungi?"

Woh kareeb aaya, uske aansu pochhne laga-

"Unka kehna tumhari sachchai nahi hai. Tum boring nahi, tum gehri ho.

Log gehraai ko samajh nahi paate... aur woh tumhare layak bhi nahi."

usne kaha "Par mujhe lagta hai main kabhi khush nahi ho paungi..."

Woh muskuraya aur uske kaan ke paas jhuk kar kaha-

"Jab tak main tumhare sapno mein hoon... tum kabhi akeli nahi ho.

Aur ek din tum samjhogi, ki tum meri ho... sirf meri."

Heroine ne aansuon ke beech hansi nikali.

Dil ne khud se kaha-

"Kaash tum sach hote..."

Aur phir sapna bikhar gaya.

Kamra phir se khaamosh ho gaya.

Sirf diary ke panne geele ho rahe the... aur ek khwahish chal rahi thi:

"Tamanna-e-Ishq... tu kab haqeeqat banegi?"

Hot

Comments

Faaabb

Faaabb

Absolutely engrossing!

2025-08-21

1

See all

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download NovelToon APP on App Store and Google Play