Episode 5 Faisle Ka Mod Aur Dil Ki Jung

Chapter 5 - Faisle Ka Mod Aur Dil Ki Jung

Raat ka waqt tha, aur Karachi ki thandi hawa Ayesha ke kamre ki khidki se dheere se guzar rahi thi.

Woh apne bed par baithi thi, haath mein phone tha, par dil kahin door sapno ki duniya mein tha.

Jungkok ke messages ab bhi screen par chamak rahe the, par uske dil mein ek ajeeb si khichav thi.

Ayaan ne usse college mein propose kiya tha, lekin uska dil abhi bhi Jungkook ke sapno mein phansa tha.

Kya wo sach mein apni zindagi mein dono ko ek saath rakh payegi?

Kya Jungkook jo sirf sapno ka hissa tha, asli duniya mein bhi uske saath ho sakta tha?

Us raat, usne decide kiya ke wo Jungkook ki sapno ki duniya mein phir se jayegi, taake apne dil ke sawaalon ka jawab le sake.

Phone ka wohi link khola jo usse pehli baar wahan le gaya tha, aur jaisi hi screen black hui, wo fir se us chamakti hui jagah par thi.

Jungkok uska intezar kar raha tha, uske chehre par wahi pyari muskan thi.

"Main tumhara intezar kar raha tha, Ayesha," usne kaha, "Tumhari aankhon mein kuch sawaal hain, chalo main tumhe jawab deta hoon."

Woh usse le kar ek khoobsurat bagiche mein gaya, jahan har phool apni khushboo se mahaul ko mehka raha tha.

Jungkok ne kaha, "Ayesha, sapne aur haqeeqat ke darmiyan ek pul hota hai. Tum dono ko jod kar chalna seekh sakti ho."

Ayesha ne apne dil ki baat uske saamne rakhi, "Jungkok, mera dil do jagah hai. Ek tumhari duniya mein, aur doosri meri haqeeqat mein. Mujhe samajh nahi aa raha ke kya karun."

Jungkok ne apni aankhon mein gehraai se dekha aur kaha, "Main chahta hoon ke tum khush raho. Agar tum chaho, main tumhare haqeeqat ki duniya mein bhi tumhara saath doonga."

Woh baat sun kar Ayesha ke dil mein ek nayi umeed jagi, lekin uske dil mein ab bhi ek darr tha.

Kya Jungkook sach mein uske haqeeqat ki zindagi mein aa sakta tha?

Ya phir wo sirf ek sapna hi tha jo kabhi pura nahi hoga?

Tabhi wapas se wo jealous fan aaya, is baar aur bhi taqatwar aur badsurat.

Usne kaha, "Ayesha, tum apni zindagi aur sapne dono kho baithogi. Dono jagah tum par jung chal rahi hai."

Jungkok ne gusse se kaha, "Tum unke sapno ko tod nahi sakte."

Ayesha ne apni himmat jatai, "Main dono duniyaon ko jeetungi."

Us raat, wo sapno ki duniya mein Jungkok ke saath apne jazbaat share karti rahi.

Usne apne dard, apne khwabon, aur apni umeedon ko uske saamne rakha.

Jungkok ne kaha, "Tumhara dil tumhare liye raasta banayega."

Agli subah, Ayesha ne apne haqeeqat ki zindagi mein naye jazbe ke saath kadam rakha.

Woh Ayaan ke paas gayi aur kaha, "Mujhe waqt chahiye apne dil ko samajhne ke liye."

Ayaan ne muskura ke kaha, "Main intezar karunga."

Woh college mein apni dosti aur sapno ke darmiyan balance banane ki koshish kar rahi thi.

Lekin sabse bada imtihaan tab aaya jab uske exams ke din uska health kharab hone laga.

Doctor ne kaha, "Ayesha, tumhe apni sehat ka khayal rakhna hoga, warna mushkil ho sakti hai."

Us waqt Ayesha ne socha, "Mujhe apni zindagi ke faisle jaldi lene honge."

Woh sapno aur haqeeqat ke darmiyan phasi hui thi, lekin uska dil ab bhi Jungkok ke saath tha.

---

End of chapter 5

Written by Ubaidkk

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download NovelToon APP on App Store and Google Play