Episode 4 Haqeeqat Ka Samna Or Dil Ki Awaz

Chapter 4 - Haqeeqat Ka Samna Aur Dil Ki Awaaz

---

Ayesha ke aankhon mein ab bhi sapno ki chamak thi, lekin haath mein uske apne haqeeqat ke bojh bhi the. Hospital se wapas aane ke baad, sab kuch badal gaya tha. Amma ki fikr, college ki pareshaniyan, aur doston ke sawaal - sab kuch uske dil ko tod raha tha, lekin ek hi cheez usse sambhale rahi - Jungkook ki yaadein aur wo sapno ki duniya.

Roz subah uth kar, uska pehla kaam tha apne phone par Jungkook ke naye reels dekhna, uski muskurahat mein kho jana, aur usse baat karne ka sapna dekhna. Lekin jab wo real life ki taraf dekhti, toh usse pata tha ke dono duniyaon ke darmiyan fasna kitna mushkil tha.

Ek din college mein, Nida ne usse poocha, "Ayesha, kya tum theek ho? Tum kuch alag si lagti ho."

Ayesha ne muskurate hue kaha, "Bas thodi thakawat hai, Nida."

Lekin wo janti thi ke woh apni asli feelings chupati ja rahi hai.

Ghar aate waqt, uske dil mein ek ajeeb si bechaini thi. Amma kehte the, "Beta, apna khayal rakhna, zindagi sirf sapno se nahi chalti."

Lekin Ayesha ka dil Jungkook ki taraf hi khicha ja raha tha.

Raat ko, jab sab so rahe the, Ayesha ne apna phone uthaya aur us link par click kiya jahan se pehle uski journey shuru hui thi. Screen black hui, aur phir wo chamakti hui duniya uske saamne aayi.

Jungkook wahan khada tha, muskurata hua, uska haath phaila kar.

"Wapas aao, Ayesha. Tumhara intezar hai."

Par is baar, usne kuch badla hua mehsoos kiya. Sapno ki duniya mein ab kuch andhera bhi tha.

Woh jealous fan, jo pehle sirf ek saaya tha, ab ek badi khatra bankar wahan tha. Usne kaha, "Tum is duniya ki khushboo mehsoos kar rahi ho, lekin apni asli zindagi ka bojh tumse le ja raha hai."

Ayesha ne jawab diya, "Main dono ko sambhalungi. Mujhe jung jeetni hai."

Jungkook ne uska haath mazbooti se pakda, "Hum saath hain, tum kabhi akeli nahi."

Ayesha ki journey ab sirf sapno tak simit nahi thi, balki uski zindagi ki har ek kadam par Jungkook uska saath de raha tha. Lekin asli imtihaan tab shuru hua jab uske college mein ek naya ladka aaya - Ayaan.

Ayaan ek charming, smart aur confident student tha, jo Ayesha ki zindagi mein aane laga. Uske baatein, uski muskan - sab kuch Ayesha ke liye naye emotions jagane lage.

Woh Jungkook ke sapne mein phansii hui thi, lekin Ayaan ki asli zindagi mein uska saamna kar rahi thi.

Ayaan ne pehli baar Ayesha se baat ki, "Tum bahut alag lagti ho, jaise koi kahani chhupi ho tumhari aankhon mein."

Ayesha ne muskurakar kaha, "Shayad woh kahani sapno ki duniya ki hai."

Ayaan ne hans kar kaha, "Phir toh main us duniya ko bhi janna chahta hoon."

Yeh baat Ayesha ke dil ko chhoo gayi. Usse pata tha ke Jungkook sirf uske sapno mein hi nahi, balki uski zindagi ka ek hissa ban chuka hai. Lekin Ayaan uske dil ko haqeeqat se jodne laga.

Raat ko, Ayesha apne kamre mein baithi thi, Jungkook ka message phone par dekhti hui.

"Main hamesha tumhare saath hoon, chahe duniya kuch bhi kahe."

Par Ayesha ki aankhon mein ek aansu tha - kyunke woh dono duniyaon ke darmiyan fas chuki thi.

Agla din college mein, Ayaan ne usse propose kiya - ek simple si baat, jo uske dil ki gehraiyon ko chhoo gayi.

"Main tumhari har duniya mein tumhara saath dunga, chahe woh sapne ho ya haqeeqat."

Ayesha khud se ladti rahi - kya wo Jungkook ko bhool kar Ayaan ko apni zindagi mein jagah degi?

Ya phir dono duniyaon ko ek saath jeena sikhegi?

Ek din jab wo hospital gayi apne health checkup ke liye, wahan uski mulaqat ek doctor se hui jo uski koma ki wajah samjhane ki koshish kar raha tha.

Doctor ne kaha, "Ayesha, tumhara dimagh zyada stress mein hai. Tumhe apne sapno se utarna hoga, varna tum khud ko kho baithogi."

Yeh baat Ayesha ke liye ek jhatka thi.

Woh Jungkook se apne sapne todna nahi chahti thi, lekin apni zindagi bhi bachani thi.

Usi raat, sapno ki duniya mein Jungkook uske paas aaya aur kaha,

"Ayesha, tum apni zindagi ki malik ho. Sapne tumhare hain, haqeeqat tumhari zimmedari. Main tumhare saath hoon, har kadam par."

Ayesha ne apne dil se kaha,

"Main dono ko jeetna chahti hoon - Jungkook, tum aur meri zindagi."

Aur is faisle ke saath, usne apni zindagi aur sapno dono ko ek naya roop dene ka iraada kiya.

---

End of chapter 4

Written by Ubaidkk

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download NovelToon APP on App Store and Google Play