Chapter 2 – Sapno Ki Duniya Mein Dobara Kadam
---
Jab meri aankhen khuli, toh main phir se usi chamakti hui duniya mein thi. Lekin is baar kuch alag tha. Mere aas paas har jagah roshniyan chamak rahi thi, jaise sitare zameen par utar aaye hon. Hawa mein meethi khushboo thi, jo mere dil ko ek ajeeb sukoon de rahi thi.
Main ek aisi jagah thi jahan zameen naram, phoolon se bhari hui thi, aur aasman neela safaid milake ek sapne jaisa lag raha tha. Yahan har cheez kuch ajeeb si thi — jaise main kisi kahani ke andar aa gayi hoon.
Mere saamne, door se, ek group slowly mere taraf badh raha tha. Pehle mujhe samajh nahi aaya ke yeh kaun hain, lekin jab wo mere kareeb aaye, meri saansein ruk si gayin.
Woh BTS the.
Har ek member ka chehra mere liye ek nayi umeed le kar aaya tha. Jungkook, jise main apni aankhon ke samne dekh kar hairaan thi, uske saath RM, Jin, Suga, J-Hope, Jimin aur V bhi the.
Unki aankhon mein garamjoshi thi, aur muskaan mein wo jazba tha jo har fan ke sapne ka hissa hota hai.
Jungkook ne pehle mera haath pakda, phir sab ne mera swagat kiya.
“Welcome, Ayesha,” RM ne kaha, “Tum un khaas logon mein se ho jinhone apne dil se hume chaha hai.”
Maine apne dil ko sambhalte hue un sab ko dekha.
Jin ne muskurate hue kaha, “Yeh jagah unke liye hai jo sachche sapne dekhte hain. Tumhari dua ne tumhe yahan laaya hai.”
Suga ne apni thodi si muskuraahat ke saath kaha, “Lekin har khushi ke peeche ek qeemat hoti hai.”
Main thoda ghabra gayi.
V ne meri taraf dekha, aur phir aise kaha, “Yeh duniya sirf tumhare liye nahi, Ayesha. Koi chahta hai ke tum yahan raho aur apni asli duniya ko bhool jao.”
Maine unki baat samajhne ki koshish ki. Yeh sab kuch itna ajeeb tha. Par Jungkook mere kareeb aaya aur kaha, “Dar mat, main tumhare saath hoon.”
Uski baat sun kar mujhe thoda sukoon mila, lekin mera dil tez tez dhadak raha tha.
Tabhi ek dark sa saaya, ek shakhs, mere sapno ki duniya mein ghus aaya.
Wo wo saaya tha jise main pehle bhi mehsoos kar chuki thi — woh jealous fan jo mera sapna todna chahta tha.
Wo saaya hans raha tha, “Tum nahi samjhogi, yeh jagah sirf hamari hai.”
Maine himmat jutai aur zor se kaha, “Yeh mera sapna hai! Main ise todne nahi doongi.”
Jungkook ne mera haath mazbooti se pakad kar kaha, “Hum saath hain, koi kuch nahi kar sakta.”
Main us haath ki garmahat mehsoos kar ke sochne lagi, kya main sach mein is duniya mein hoon? Ya yeh sab mera imagination hai?
Tabhi RM ne kaha, “Ayesha, tumhe ek faisla lena hoga. Yeh jagah tumhari zindagi badal degi. Par kya tum apni asli duniya ko chod sakti ho?”
Mera dil dukhta hua laga, kyun ke mera asal zindagi bhi mera apna tha — Amma, dost, college, aur woh sab chhoti chhoti khushiyan.
Lekin Jungkook ke saath hona mera sapna tha, jo main sach karna chahti thi.
Main phir se Jungkook ki aankhon mein dekha, jisme pyar aur yaqeen tha.
Usne kaha, “Sapne apne haqeeqat banate hain, agar tum chaho.”
Main apni saanson ko sambalte hue soch rahi thi, kya karoon?
Kya main apne sapne mein hi reh jaun, ya apni asli zindagi ko chhod doon?
Tabhi us jealous fan ne phir se meri taraf dekha, aur kaha, “Agar tum yahan ruki, toh apni duniya kho dogi.”
Maine zor se jawab diya, “Phir bhi main yahan hoon, kyunki mera dil yahan hai.”
Woh saaya dheere dheere peeche hata, lekin uski nazar mujh par thi, jaise wo kabhi peeche nahi hatega.
Jungkook mera haath pakad kar bola, “Chalo, main tumhe ek jagah le chalta hoon.”
Woh mujhe ek chhote se jheel ke paas le gaya, jisme paani itna saaf tha ke har chehra usmein dikh raha tha.
Wahan baith kar Jungkook ne apni kahani batayi — kaise BTS fans ke pyar ko mehsoos karta hai, aur kitna important hai har ek fan ke sapne.
Main bhi apni kahani usse sunayi — kaise main ek aam ladki hoon jo ek superstar ke sapne mein jeeti hai.
Hamara waqt dheere dheere guzar raha tha, lekin mera dil har pal uske kareeb hona chahta tha.
Mujhe pata tha ke yeh jagah meri asli duniya se door hai, lekin yeh bhi sach tha ke main kabhi yeh pal bhool nahi sakti.
Phir achanak se, ek shor hua.
Woh jealous fan wapas aa gaya tha, is baar zyada taqatwar aur ghussa se bhara hua.
Usne kaha, “Ayesha, yeh tumhara sapna todne aaya hoon. Tum yahan ruki rahi, toh tum apni zindagi kho dogi.”
Jungkook ne mera haath aur mazbooti se pakda, “Main tumhare saath hoon, aur main tumhe is sapne mein mehfooz rakhunga.”
Main bhi himmat se us saaye ka samna kiya, jaise ek jung ki tayyari ho rahi ho.
Phir maine socha, kya mera sapna itna bada ho sakta hai ke main apni asli zindagi aur yeh dono duniya sambhal saku?
Kya mera junoon itna mazboot hai?
Aur tabhi meri aankhen khuli, main apne kamre mein wapas thi, lekin mere dil mein ek nayi umeed thi.
Main janti thi ke yeh sirf shuruaat hai.
---
End of Chapter 2
Written by Ubaidkk
***Download NovelToon to enjoy a better reading experience!***
Updated 14 Episodes
Comments